2019 ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

04 November 2019

School ke Din...

                        This blog I wrote about my school life. Main abhi FYJC mein. phele-phele college jana accha lag raha tha. par jab apne school ko dheta hoon to wo school ki yaadein taza hojati hain. aur inhi yaado ke bare mein ye likha hain. So let's start. 

"School ke Din...."
                                                                  
                  
                    Maine life ke haseen lamhe waha gujare the. Zindagi jeena aur padhna-likhna wahi se sikha tha. Kuch aur naam mat do  usy kyuki weh mera doosra ghar tha…  
                                                        School
                    Subah ko der se uthna. Mummy uthae to pet dard ka bahana kar ‘aaj school nhi jauga’ bolna. Phir kisi tarah daant kha kar school chale jana hamara roz ka tha…
                     Phir ek waqt aisa aaya ki ghar me boring lagne laga tha aur school mano mujhe mera doosra ghar lagne laga tha. School ka ek free period mano pure din ki thakaan mita deta tha. Bench ka bajna aur duster se face makeup karna hamara chalu rehta tha. Black-list ka tag laga kar hum back-bencher kehlate the, pen-fight, red-hand, odd-iff jaise kitne game hum piche khela karte the. Class ke beech mein gossips apne chalu rehti thi, hum sab class ke bahar khade hojate the jab teacher hume pakadti thi. P.T ke period me full energy hoti thi aur science ke period mein batti gul ho jati thi, aage bench par sab padhte rehte thy aur last bench par hum apna alag hi chemical locha karte rehte. 
                   Washroom mein sab friends ka sath jana aur full period wahi bitana, bell bajne par class mein bhagna. Teacher ko satana, chalu period mein masti karna, kabhi usy piche se marna to kabhi paper ka plane bana kar udana. Computer lab me jakar keyboard ka koi bhi button daba kar aana, to kabhi teacher ke lakh mana karne par computer me game khol kar baith jana. Pyaar se teacher ko naye-naye naam dena aur phir ushi naam se bulana hota tha. 
                   Ek tiffin me 6-6 haath hote thy kyuki hum sab friend saath hote thy. Kabhi-kabhi friend se bina bataye uska tiffin kha jana, tu kabhi ushi ke bag se bench saaf karna. Canteen se samosa pav lekar bahar nikal aana kisi jang jeetne se kaam nhi hota tha. Wo aankhen band karke kisi 1 ko apna shikaar banana, phir baad mein usy manana hota tha. 
                   Ghar mein 1 water bottle nhi bhar pate thy, par school mein 5-5 water bottle lekar jate thy. Birthday mein wishes se pehle birthday bombs milte the aur party ke naam par naye-naye chehare dikhte the. Kisi ko bhi bhabhi bana kar dosto ko chidhana, dost ke naam par ladai karna “tu school ke bahar mil” famous dialogue bol kar panga lena. Baad mein compro ho jana hamara chalu rehta tha.                    School jane ki aadat si hogai thi ye yaade humse kuch is tarah judd gai thi.
                   Din gujre, mahine gujre, gujre 13 saal. Aakhir wo din aa hi gaya jiska tha hum sabko intejaar. Farewell ke din waha sajna-savarna, ladko ka blazer aur ladki ka saree pahan kar aana. Uss din kiye thy dosto se school ke baad milne ke vaade. School ki shirt par likhna aur likhvana milte rhena dosto hame bhool na jana. Aaj bhi jab school ke raste gujarta hoon to wo khatti-meethi yaade mere chehre par ek nayi muskurahat chhod jati hain…….
                  Mujhe phir se apne dosto se milna hain, mujhe phir se unka tiffin khana hain, mujhe phir se bench par apna naam likh kar aana hain, mujhe phir se school jana hain,, mujhe phir se school jana hain….  
                      This memories will always be with me. Miss you mere yaaro jald milege.. 
                                                      
                                                         ---Mohd Anas Ansari      

13 October 2019

Hum Single HI Acche Hain.....


Hum single hi Acche Hain........

Akele hain par khush hain. Na koi rok rukaavat na hi koi jhanjhat. Kisse ke paalto kutte to nhi hain, ki jab chaahe jao aur jab chaahe aao. Bas hum single hi aache hain. Single hain par khush hain. Instagram par kisse ki bhi pick like karo ye whatsApp par chats, koi bolne wala nhi hain. Single hone ke bahut phaayde hain, no rona-dhona, bas pura din gaana aur sona. Koi tention nhi hain. Hum single hain par khush hain. Apni life mein ladakiyon ki kami nhi hain. Par kya hain na ye phalto ke shauk hum nhi paalte. Chahe tu hum bhi GF bana saakte hain, par hame jhotha pyaar karna nhi aata. Isileye hum single hi acche hain. Aur koi tu mile jo sachcha pyaar kare,, timepass naa kare. Par kya kare koi milta hi nhi. Aur pata nhi milega ya nhi. Hum aaise hi thik hain, bas single hain par khush hain. hum saans apni marji se lete hain na ki kisse aur ki marji se. hamara timpass hamare doston ke sath hota hain. Hum single hi acche hain. single hain par khush hain. Mana hum single ki life thodi alag hain, na koi emotional hota hain na hi mohabbat. Mana hum vaadon ke kachche aur dil ke pakke hain. Bas hum single hi acche hain. single hain par khush hain. Hame subha ko hamari maa uthaati hain nai ki kisse ka massage. Hamari good morning hamari family ke saath hote hain, phone par nhi. Hum pyaar ka dikhaava nhi karte hain. Hum pyaar sirf apne pariwaar se karte hain. Mana hum thoda jhut bol lete hain, par dil ke sachche hain. Mana hum pyaar mein thode kachche hain. aur aaj ke pyaar kha itane sachche hain. Bas ham single hi acche hain. Hum raat ko jaagte hain kyuki kisi tarah 1.5GB data khatm hoo jai. Hum na kisse se roothate hain na kisse ko manaate hain. na kisse se pakte hain aur kisse ko pakaate. Isileye hum single hi acche hain. single hain par khush hain. hum single hi acche hain…..

Agar accha laga tu please comment aur accha nhi laga tu bhi comment karo.


---Mohd Anas Ansari...

02 October 2019

The Importance Shadow of Father..


            THE IMPOTANCE SHADOW OF FATHER..

            Eyes were closed and fingers were tight, this world was new to me. Everything was unknown to me here. When I came into this world, my father was happiest. I was lying on my bed and then a person came to me. He picked me up, I don't know who he is, I don't know anything. He took me home with him. He used to play with me every day and I used to wait for him every day. He would go to work every morning and come in the evening. I used to wait for him at the threshold of the house in the evening. And if I saw him, I would laugh, shout and not know what gestures, just he would pick me up. Although I could not speak now, he would have understood my gesture. He used to bring me new toys, he may have clothes or not, but he used to bring new clothes for me. If I had anything at night, he would sit with me till morning. Slowly slowly I was growing and my needs kept growing with me. He fulfilled my every need and fulfilled my every wish.... "who was that? Why did he do this? And what did he get by doing this?"            

                      ....He was my father and all this love was for me. He was my father who did all this for me. He was the victim of the world, there were many problems in his mind, but he did not let all this come in front of me. I do not know what power they had, who did not let all this come to me. Only a smiling face was visible to me...  Now, I had stepped towards youth since childhood, and I started earning. I began to accept every need made by him as his duty. I started demanding money from him, why do you want so much money? What will you do for this money??   I started arguing with him.....

                     Till now I was someone's son but now I have become someone's father. I was also happy like my father. I too had started to fulfill her every need. I also wanted to spend more time with him... Now I came to know the importance of father. Now I come to know that what my father did was not his duty but his love for me.'But it was too late'… .. too late.

                    This is the father's love and we begin to consider it his duty.. Why! Why we do this? Why??           

                                                 Very fortunate are the people whose parents live with them. Very lucky…..

The stone remains intact,
As long as it is connected to the mountain.
Leaf is remains intact,
As long as it is attached to the tree.
And human is safe,
As long as he remains connected with his parents.
Because …
After separation from parents,
He gets life but he does not get his world.

                                      -----Mohd Anas Ansari

       

18 September 2019

Hausalon Ke Jazbe......


Hausalon Ke Jazbe

Log aksar duniya ko jeetne ki sochate hain .are jeetana hain to logon ke dilon ko jeeto yaaro. Duniya mein kya rakha hain. Kyu..ki duniya jeet kar bhi sikandar khali haat hi gaya tha. Bas housala buland rakho, kyuki jo insane akela chalne ki himmat karta hain ek din kaaphila usske peeche chalta hain. Tum doosaron ko khodse compare mat karo, kya pata jo uuske pass nhi hain vah tumhare pass ho. Hajaron toophaan aaege, museebate aaegi, laakon kathinaiyaan aaegi saamane, par tum himmat mat haaro.tum koshish karte raho, kyuki koshish karne walo ki kabhi haar nhi hoti. Mat bhoolo gulaab ka phool bhi kaanto ke beech mein khilta hain. Tum museebat se daro mat balki usska saamna karo. Kyuki tum jitana daroge uttni hi pareshaaniya aaegi. Bas tum apna laksa mat khona. Tum aage badhte rehana, aage badhte rehana. Tabhi tum apni manjil tak pahunch paege. So be confident, apna confidence ko mat tootene do. Sapne tootege par ek sapna tootene se tum mat ruko, doosara sapna dhekho vah toota to teesra dhekho koi tu pora hoega. Kyuki ‘practice makes man perfect’. Yaad hain Thomas Edison 1000 se bhi jaida bar fail hue the, tab jaakar ek bulb ki khooj kar pae the. Tum koshish karte raho tumhe bhi phal jaroor milega, sabr rakho bas…….
      Tum apni nakamiyo ko apne taaakat banao. Jo cheez tumne aasani se mil jaati hain vah hamesha tak nhi hoti, aur jo hamesha tak hoti hain vah aasani se nhi milti. Kissi mahaan purosh ne kha hain ki, "Apni pheli jeet ke baad aaram mat karo. kyuki gar aap dursi baar haar gae, to adhik log ye kehne ki rah dekhe ge ki, apki pheli jeet sirf apka luck tha." You know which great person has said this, our missile man and former president of India, Dr. A. P. J. Abdul Kalam. To hausala mat tootene do.

        Mushkil is duniya me kuch bhi nhi,
        Phir bhi log apne iraade tod dete hain...
        Agar sachche dil se ho chahat kuch pane ki,
        To sitare bhi apni jaghan chhod dete hain…

                               __ Md Anas Ansari..

08 September 2019

Yaad Aate Hain Vah Din.......


   Tha ek paagal, wo Sr.K.G se padh raha tha aur main 5th se aaya tha. Hum 7th mein mile the, ek doosare ka naam bhi nhi jante the. Baad mein usska naam pata chala, ‘Azhar’ Azhar naam tha usska. Phir kya tha, Dhekate dhekate vah mera best friend… ban gaya. Usske baad kya tha! Ek saath school jaane lage aur ek saath school se aane lage. Dostee bahut gaharee ho gae, itanee gaharee ki jab wo school nhi aata to… sab kahate ki tera wo sathee kha hain. Hum ek doosare ke fire brigade bhi the, jaise Jethalal aur Tarak Mehta jab mujhe koi problem hoti to wo handle karta aur usse koi problem hoti tu main... kya karo ab, yaad aate hain vah din. Vah din yaad aate hain jab school se aate aate hum neembo paane peete the aur bhajiya pav khate the. Vah din yaad aate hain jab main usse maar deeta aur wo kutta maar kha kar muskura deeta tha. Aur usse koi maarta tha to mujhe gussa aata tha …. Uuse kuch bhi hota to mere pass aata tha, aur bolata tha bhai help kar de… jab maths ka koi sum samajh nhi aata tha to bolata tha bhai samjha de. Aur main, mana kar deeta.. sach mein yaad aate hain vah din….
    Yaad aate hain wo din jab tuition class mein vah 1st bench par baitha tha aur main 3rd bench par, phir bhi sir kuch bolate  to meri taraf ungaale kar deta aur main usski taraf dhek kar maan hi maan bolata to bhar mil. Yaad aate hain vah din…
Vah din yaad aate hai, jab wo school nhi aata tha to main borr ho jata school mein maan nhi lagta tha.. vah din yaad aate hain jab hum tuition class ke baad Gateway of India se round maar kar jaate the. Aur kahate ki this is also a place to visit , don’t know why people come to visit it. Because hum log vah rooz jaate the, kyu ki Gateway hamare ghar se 10 min ki doore par tha. So we got bored going there. Yaad aate hain vah din….
    Then we shifted from Colaba aur vah vha. Jab bhi phone karta hoon, bas kahata hain kyu gaya yaar . yha hota to ye karte wo karte... sach mein yaad aati hai usski aur usse bhi aati hain mere yaad bahut miss karte hain….yaad aate hain vah din jab anpe dosto ke saath masti karte the… bahut yaad aate hain.
               Miss You my friend, my brother, mere saathi……… Miss Youuuuuuu…..
                                 
                                          _ Md Anas Ansari..