Kuch Lafz Pyaar Ke: Emotional

Recent

Showing posts with label Emotional. Show all posts
Showing posts with label Emotional. Show all posts

21 August 2023

Ek Cup Chai Piyege Saath Mein...

 

Ek Cup Chai Piyege Saath Mein

Ek Cup Chai Piyege saath mein

Kabhi Fursat mile toh aana

Aur kuch Pal Aapne Saath lana

Arsa ho gaya hai Hame mile

Ek baar phir apni Mehfil Saji hai

Saath mein Chai bhi Bani Rakhi hai

Kya Paaya aur kya Khoya Tumne

Ye sab Bhool kar hi aana

Ye Jhute Nakaab ko

Ghar par hi Utaar aana

Apni Kaamyabi ko Tum jara Chupana

Bas Hamari jo Yaadein thi Dosti ki

Unko hi apne Saath lana

Jo Gaana Gaate the Hum saath mein

Gar yaad aae toh Gun-Gunana

Naraaz ho gar toh Naraazgi ko Bhool jana

Tum bas Dosti Nibhane aana

Wo Khatti-Mitthi Yaadon ko Dhoraana

Jo Saath mein the kabhi

Hamare Saathi Bachpan ke

Un Sabhi ko apne Saath lana

Aur ye Baatein jara Unko bhi Samjana

Dekhlo kar Paoge gar Tum toh hi aana

Chai bhi Rakhi hai saath mein

Intezaar rahega Tum sab ka

Tum bas Mehfil Sajaane aana…

26 June 2023

Main Kuch Dhund Raha Hoon...

 Main kuch Dhund raha hoon…


 Main kuch Dhund raha hoon

Pata nhi kya bas kuch khoj raha hoon

Ek aass hai Dil mein kuch paane ki

Par har baar main haar raha hoon

Akela khada hoon is rah par

Kisi ka Intezaar kar raha hoon

Pata nhi kiska bas Talash kar raha hoon

Har kahani mein, Main

Khud ko Dhund raha hoon

Be-lafz ho gaya hoon

Kuch Alfaaz Dhund raha hoon

Aas-paas sab thik hai mere

Par phir bhi kuch kami si hai

Main Waqt ke saath beh raha hoon

Aur Zindagi bas yu hi chal rahi hai

Kuch alag sa lag raha hoon Main

Kuch Dhund raha hoon

Pata nhi kya bas yu hi khoj raha hoon

Kabhi mil Jae toh batana

Bahut kuch puchna hai

Rooz kuch Naya pane ki Chah mein

Hamne Khud ko kitna Badal diya

Daude waha jaha Scope dikha

Par Zindagi ko Piche Chodh diya

Kya lagta hai ki ye badal doge??

Tum jo Raaton ko Roote ho

Aur Din bhar Baaton ko Dohrate ho

Yaad karo Tumne kya khoya hai?

Dekho kitna Tezz Daude ho Tum

Kitna bhage ya kode ho Tum

Wo Basta kitna Bhari tha

Jo bhara Zimmedariyon se tha

Sapno ka aab ho gaya na Khoon

Kho diya na Tumne pura Sukoon

Tumhe lagta hai tum ye Badal doge

Apna Rasta Dhund kar bas Chal doge

Kyu???

Jo Dhund rahe ho kya wo Milega?

Jiski Talash hai kya wo Puri Hoegi?

Sapna dekha tha jo wo aab Rahega?

Kuch Badalne ki aas thi kya wo Badlega?

Bas Main aab ye hi Soch raha hoon

Kuch Paana hai jo pata nhi kya hai

Bas usko hi Dhund raha hoon..

Main Kuch Dhund raha hoon…


Agar mil jae toh batana mujhe bhi...

26 March 2022

Kabhi-Kabhi Mann Karta Hai..

 

Kabhi-Kabhi Mann Karta Hai…

 


Kabhi-Kabhi Mann karta hai ki,

Kahin Dorr chala jao..Sab kuch Chhodd kar.

Arsa ho gaya Khud ke saath Waqt Bitaye,

Apne-Aap se milne ka Mann karta hai.

Koi mujhe Samajne Wala hi nhi hai,

Mere Hone-ya-Na Hone se

Kisiko koi Farq hi nhi Padta hai.

Jise jitni Ahamiyat dete hai,

Wo utna hi Dard de jata hai.


Kabhi-Kabhi Hum Thak jate hai,

Pareshaniyo aur Zimmedariyo se,

Zindagi ki is Bhaag-Daud se,

Mann karta hai ki Kahin Dorr Chale jae.

Logo ko Samajna aur Samjana Aab,

Bas ki Baat nhi rahi,

Yaha sab apni hi Baatein kiye jate hai,

Koi Hamari Sunta hi nhi.

Jisko jaisa thik Lagta hai wo Waisa hi karte hai,

Lakh Koshish kar le par koi Samaj hi nhi pata hai.


Main Khud ki Talash mein Nikalna Chahta hoo,

Apne-Aap se Milna Chahta hoo.

Yaha Log Wada karke Todd dete hai,

Khvaab bhi Adhore hi Dikhate hai,

Main Baat karta hoo toh Baat ho jati hai

Par Aage se Koi Pahel hi nhi Karta hai.

Isiliye kahin Dorr Jana hai,

Aur jab tak Mann na Bhare Laut kar nhi Aana hai.

21 March 2021

Zindagi

 Zindagi...

 


Zindagi ek uljhi si paheli hai,

Dard aur gam toh mano iski saheli hai.

Saat aksharo ka shabd hai tu,

Par hazaron hai tere naam, ZINDAGI.

Na jaane kyu darbadar ho rahi hai aaj Zindagi.

 Khushiyan or gam jahan se behte hai waqt-waqt par,

Wo sukha pada Nal hai tu,

Bina ticket ke jo kabhi kiya tha, wo safar hai tu

Jin raaston par chal kar bhatak jane ko karta hai mann,

Wo Anjaan Dagar hai tu.



Jo dekhe the mene Aankhon mein sapne,

Wo chamakta sahar hai tu.

Shayad jo khai thi Maa ke haath ki,

Wo Sokhi Roti or Achaar hai tu.

Ya jo padi thi teacher se,

Wo pyaar bhari dande ki maar hai tu,

Gira kar jisne chalna sikhaya,

Khud rula kar jisne hasna sikhaya,

Wo bhetareen ustad hai tu.

Jisne samajh liya tujhe uske lie,

khushiyon se mehka bagaan  hai tu,

 


Aur jo ulajh kar reh gaya tujhme,

Uske lie simta hua ek kabristan hai tu.

Jo guzar gaya wo bita kal hai tu,

Jo chal raha wo behta ek pal hai tu.

Ek pal mein andhera ek pal mein jo ujala kar jae,

Aesi jadugar hai tu.

Zindagi Ae zindagi tere safar par jo chala,

Usne mud kar dekha nhi.

Aur jo tera na ho saka wo khud ka bhi nhi.


                                 Mohd Anas Ansari


24 May 2020

Majdur...

            Majdur.......
            Aaj puri duniya mein jo halaat hai sab ko malum hai. Sab apne gharo mein baithe hai, sab kuch band hai. Par kuch aaise log bhi hai jo apno se dorr hai. Tu Ye kavita hamare desh ke jo majdur lockdown ki wajah se phase hai, apno se dorr hai, aur hazaroo mile paidal apne gao ja rehe hai, na din dekh rehe hai na raat bas chalte jaa rehe hai, unn ko dedicate hai.
        Na khane ko roti na pine ko pani hai. Wo apno se dorr hai, wo desh ke majdur hai. Khande par bhojj liye, chehre par thakaan liye, pairo me chhaale hai, badan tadapne lage.
Na waqt ki fikar na din aur Raat ki khabar hai, jaana hai bas chalte rehna hai. Ek-ek niwale Roti ke liye wo tarash rehe, apno ke liye wo sadko par bhatak rhe. Mehnat karne wale majdur aaj duniya ke samne majboor hai. Alam ye zindagi ka kya Nazrana h. Dragon ke is srap se hame jeetna hai. Hum ghar pahuche ye na pahuche par akhbar me chapi tasveer apno tak pahuchana hai.
Sang chale ek dosro ke hum, hame aage badhna hai, chahe karna pade hazaroo mile ka safar paidal hi par hame apno se milna hai. Jaise tum baithe ho apno ke saath, hame bhi apno ke saath baith kar khana khana hai. Jo tapti dhop ki garmi mein humne tarcoal ki road ko shicha tha, aaj usi garmi ne pairo ki chamdi ko bahar khicha hai. Are kuch din ki mohlat to de dete. Bas hame ghar tak tu jaane dete. Aur jab band hi karna tha to roti ki keemat to dete.
Hum hajaroo mile paidal hi chale hamme se Kai ghar phoche, to kai  kafan mein wapas lote. Are humne bhi tumhe banaya hai, humne bhi 2-2 ghante line me lag kar vote giraya hai.
 Sarkar bani abb andhi kyu, sarkar bani aab bheri kyu. Kya chote-chote bacho ka rona tumne suna nhi, ye nazuk se pairo ke chhaale tumhe dikhe nhi. Har 5 saal mein tum aate ho aur hum se vote chura le jaate hoo, phir aai musibat hum par to tum aankhe chupa le jate hoo. Phir 5 saal mein tum aaoge, naye-naye tarkeebo se tum hame behlaoge. Par abhi jo hum par musibat aai hai, in yaado ko bhi saath le aana. Sawal hai humare pass bas tum iska jawaab le aana. Humne bhi ye desh banaya hai, humne bhi tumhe banaya hai, phir kyu ye bhed-bhao hai. Majdur ke naam par kyu hum par atyachar hai. Kyu ham par atyachar hai.... 

             Stay home stay safe
                             
                        __Mohd Anas Ansari

06 April 2020

Khamoshi.....

       
                    Khamoshi 

         Khamoshi... ek aisi cheej hai, jo batai nhi jaati, sirf dikhai deti hai. Aur jo shakhs khamoshi ko na dekh saka, usne kuch nhi dekha. Log uhi bewajah khamosh nhi hote, pta nhi wo kya kya seh-chuke hote hai.
          Kabhi kabhi insaan dard ke saamne rota nhi balke, khamosh ho jata hai. Aur uski khamoshi se sirf khouf... ki awaaz aati hai.
           Kabhi kabhi kisi apne ko khokar bhi log khamosh ho jate hai. Aur khamoshi unki awaaz or dard dono ko chheen leti hai.
           Khamosh rehna bhi accha hai is duniya mein, kyuki kai log baaton ka galat matlab nikaal ne lagte hai. Aur kabhi kabhi Alfaz.. se zyada khamoshi jawaab de jati hai.
           Khamoshi ka matlab ye nhi hai ki insaan khamosh hai balke, ye hai ki wo thak chuka h apne dard ke aage.
         
 kabhi kabhi to khud hi chup ho jane ko mann karta hai. Kyuki ye dil chahta hai ke hum kuch na bole, aur saamne wala hamare dard ko jaan le, aur hame khamoshi se samet le.
            Is Duniya me kisi ko fark nhi padta, mere hone ya na hone se, mere hasne se ya Rone se, mere lafzo se ya phir mere bahut khamosh ho jane se. Jab andar tak gehri khamoshi ho, to beshak khamoshi ke siwa har awaaz takleef.. deti hai.
           Koi sab kuch kehkar pyaar jatata hai, to koi khamosh rehkar sab kuch keh jata hai.
           Ab baat ye hai ke lafzo se hi khamoshi toot jati hai, aur phir lafz hi hame khamosh kar dete hai. Kabhi kabhi shakhs haar jata hai... Ummeedein rakhtey-rakhtey, Rishtey nibhate-nibhate, Khamosh rehte-rehte, Aur kabhi kabhi khud... se.
 

         Duniya chahe jo kahe, par mere liye khamoshi bahut keemti cheej hai. Kyuki khamoshi se maangi hui Dua.. sirf Rab sunta hai. Fiza ki khamoshi dil ko shant kar deti hai. Jab tum Jahilo se ghire ho tab tumhe tumhari khamoshi hi bachati hai.
           Par ek baat hai khamoshi ek jaisi nhi hoti, Dard ki khamoshi tume ander se tod deti hai. Aur ye kambakht khamoshi mera saath nhi chhodti hai, chahe dard ho ya khushi. Kabhi bhi mujhe khamosh kar deti hai. Aur me khud ko pata nhi kahan kho deta hoon..
            Ab ye khamoshi Sahi nhi jati hai, thak chuka hun main is Khamoshi se, par kya karu khamoshi ke bina ek pal raha bhi nhi jata..

                              ___Mohd Anas Ansari

02 October 2019

The Importance Shadow of Father..


            THE IMPOTANCE SHADOW OF FATHER..

            Eyes were closed and fingers were tight, this world was new to me. Everything was unknown to me here. When I came into this world, my father was happiest. I was lying on my bed and then a person came to me. He picked me up, I don't know who he is, I don't know anything. He took me home with him. He used to play with me every day and I used to wait for him every day. He would go to work every morning and come in the evening. I used to wait for him at the threshold of the house in the evening. And if I saw him, I would laugh, shout and not know what gestures, just he would pick me up. Although I could not speak now, he would have understood my gesture. He used to bring me new toys, he may have clothes or not, but he used to bring new clothes for me. If I had anything at night, he would sit with me till morning. Slowly slowly I was growing and my needs kept growing with me. He fulfilled my every need and fulfilled my every wish.... "who was that? Why did he do this? And what did he get by doing this?"            

                      ....He was my father and all this love was for me. He was my father who did all this for me. He was the victim of the world, there were many problems in his mind, but he did not let all this come in front of me. I do not know what power they had, who did not let all this come to me. Only a smiling face was visible to me...  Now, I had stepped towards youth since childhood, and I started earning. I began to accept every need made by him as his duty. I started demanding money from him, why do you want so much money? What will you do for this money??   I started arguing with him.....

                     Till now I was someone's son but now I have become someone's father. I was also happy like my father. I too had started to fulfill her every need. I also wanted to spend more time with him... Now I came to know the importance of father. Now I come to know that what my father did was not his duty but his love for me.'But it was too late'… .. too late.

                    This is the father's love and we begin to consider it his duty.. Why! Why we do this? Why??           

                                                 Very fortunate are the people whose parents live with them. Very lucky…..

The stone remains intact,
As long as it is connected to the mountain.
Leaf is remains intact,
As long as it is attached to the tree.
And human is safe,
As long as he remains connected with his parents.
Because …
After separation from parents,
He gets life but he does not get his world.

                                      -----Mohd Anas Ansari