Kuch Lafz Pyaar Ke: Friendship

Recent

Showing posts with label Friendship. Show all posts
Showing posts with label Friendship. Show all posts

21 August 2023

Ek Cup Chai Piyege Saath Mein...

 

Ek Cup Chai Piyege Saath Mein

Ek Cup Chai Piyege saath mein

Kabhi Fursat mile toh aana

Aur kuch Pal Aapne Saath lana

Arsa ho gaya hai Hame mile

Ek baar phir apni Mehfil Saji hai

Saath mein Chai bhi Bani Rakhi hai

Kya Paaya aur kya Khoya Tumne

Ye sab Bhool kar hi aana

Ye Jhute Nakaab ko

Ghar par hi Utaar aana

Apni Kaamyabi ko Tum jara Chupana

Bas Hamari jo Yaadein thi Dosti ki

Unko hi apne Saath lana

Jo Gaana Gaate the Hum saath mein

Gar yaad aae toh Gun-Gunana

Naraaz ho gar toh Naraazgi ko Bhool jana

Tum bas Dosti Nibhane aana

Wo Khatti-Mitthi Yaadon ko Dhoraana

Jo Saath mein the kabhi

Hamare Saathi Bachpan ke

Un Sabhi ko apne Saath lana

Aur ye Baatein jara Unko bhi Samjana

Dekhlo kar Paoge gar Tum toh hi aana

Chai bhi Rakhi hai saath mein

Intezaar rahega Tum sab ka

Tum bas Mehfil Sajaane aana…

20 September 2022

Wo Bhi Kya Din The

 

..Wo bhi kya din the..

... 

Aaj kuch Btana chahta hoo

Apni Zindagi ke kuch Haseen Lamhe,

Tumhe dikhana chahta hoo

Wo Din jo meri Zindagi ka ek Hissa Ban gae

Aur Dekhte-hi-Dekhte wo

Gujre hue Pal ban gae

Ye Lamhe Bachpan ke Waqt ke the

Jab hum sab Dost Saath hua karte the

Jab school ke baad Mulakaat

Dosto ke Saath hoti thi

Aaj kya Khelenge Kal kiski Baari thi

Kuch is tarah se hamara Khel decide hota tha

Gilli-Danda Khel kar Thak jate toh

Ghar mein Dera Jamta tha

1rs ka Rasna aur phir Contra ka Battle hota tha.


Barsaat mein paper ki nao bana kar

Ek-dusre se race lagate the

Aur phir Nadiya mein jakar Gote lagate

Raat ko Truck par Chadd kar

Lukka-Chuppi khel shoor machte

Ya yu hi Bewajah idhar-udhar bhaagte the.

Sirdi ki Vacation mein Rozz Subha

Mulakaat Dosto se hoti thi

Haath mein Bat aur Ball lie

Dosto ko bulane uske Ghar se,

Toli Hamari Nikalti thi.

Aankhon me Sapne aur Dil me Armaan lie

Ek Safar me nikal pade Bina kisi ka saath lie

Raaston mein kuch Anjaan Chehro se Mulakaat hui

Aur phir nai Dosti ki Shuruwaat hui.

Wo Din bhi kitni Haseen the

Jab sabse phele hum School puch jate the

Sharpener mile ya Bottle ka Dhakan

Usse Corridor mein Football khelte the

Aur Recess mein Class hamari WWE

Ka Stadium ban jati thi

Kon Jeetega kon Haarega

Ispar Batting lagti thi..


Tution Class mein Alag hi Scene chalta tha

Fariyaz hamara Adda hua karta tha

Dariya ke ek Kinare

Baythak hamari Jamti thi

Sab ke haath mein Ice-cream hoti,

Aur Gateway par Baithe

Musafiro se Baatien hoti thi

Masti har Rozz isse Tarah hoti thi

Ek pal mein Roothna aur Dusre hi Pal

Dosti hamari hoti thi.

Din Wo kya Hasen hua karte the

Jab hum sab Dost Saath hua karte the

Ye pal Aaj bhi Yaad aate hai

Aur jab bhi Yaad aate hai,

Hooth par ek Muskurahat de jata hai..

….

06 July 2022

Main Keh Na Saka..

 

Main Keh Na Saka..


Suno kaesi ho? Aapka naam?

Bahut Khobsurat Lag rahi ho.

Ye Main Usse kehna Chahta tha.

Par Keh na paya…

Ek Roz usko College ke Gate par dekha .

Dekhte hi na Jane Mujhe kya hua?

Ki Main Apne aapko Sambhal na paya

Uski wo Lehrati Zulfe,

Wo Annkhon mein Kajal,

Hoothon pe Ek Halki se Muskurahat,

Haatho mein Kitabe thi.

Kuch is tarah se Didaar hua tha Uska..

Socha jaakar Baat karo par,

Kar na saka? Naam se Anjaan tha

Wo Poch na saka..


Suno Akele Ghar jaa rahe ho?

Main bhi wahi Rehta hoon, Saath mein chale?

Ye Main usse Pochna chahta tha.

Par Poch na saka..

Sadak ke Ek Taraf uska Ghar tha,

Aur Dusri taraf Mere.

Uski ek Jhalak dekhne ke lie,

Aana Jana aab uski Galiyo se Hone laga tha.

Koi Pakad ke Poch na le,

Toh Bahana Aksar Taiyar hota tha.

Uske saath toh jane se raha!!

Toh socha Lecture mein saath Baith jae??

Suno wo Baithne ke lie Jagah nhi hai.

Kya Main yaha Aapke saath mein Baith sakta hoo?

Ye bhi Main usse Pochna chahta tha

Par Poch na saka..

Din aise hi Sochne Samajne mein Nikalte rahe.

Na Main kuch Poch saka,

Na kuch keh saka.


Dekhte-Dekhte College ka,

Wo Akhri Din bhi aa gaya…

Hello, Salaam.. Kheriyat? Main hoo..

Mene aapke ek Dost se Aapka number liya

Kya Hum mil sakte hai?

Ye Mene nhi…..

Thak-Haar kar Ussne hi Mujhse Poch liya..

Raat ka Waqt tha.

Mujhe ek Call aaya, Uska hi tha

Socha uhtao..ya nhi?

Phir Himmat kar ke utha liya.

Phir hamari Baatien Shuru hoi..

Baatien na jane kab Pyaar mein Tabdeel hui.

Ek Durse ke saath Waqt Gujaarne lage.


Din gujre phir gujre kuch Mahine..

Saal aate aate phir ek call aaya.

Usska hi tha..

Awaaj mein Nami thi,

Halki awaaj mein kuch Sunai diya,

Kaise ho?? Sab Thik hai na?

Haa Mujhe kya ho sakta?

Suno aab Hum nhi Milege.

Kuch Pal sab Shant ho gaya….

Kuch Derr tak Dono hi Khamosh ho gae..

Uski Shaadi tae ho gai thi

Phir kya tha…

Jo Khaab dekhe the sab Toot gae,

Abb Pyaar toh nhi raha..

Bas uski Meethi Yaadien hi reh gai.

Socha Himmat kar ke Ghar walo se bhi keh deta..

Par keh na saka.

Main kuch bata na saka.


                                  Based On A True Story...

29 May 2022

Wo Laut Kar Aaya Hai..

Wo Laut Kar Aaya Hai...


Arso baad kuch Baatein Hui hai,

Pata nhi Kaise? Par,,Usse Aaj Mulakat hui hai..

Wo jo gaya tha Dorr…Shayad Aaj,

Wo Laut kar aaya hai

Aur dekh kar Usko Meri Aankhen Nam Hui hai.

Wo mere samne Khada tha,

 Mujhse kuch Kehe raha tha,

Usske har ek Lafzon mein mano Dorr Jane ka Gam tha.

Baatien hui kuch Nai Purani,

Yaadon ka mano Mela Laga tha.

Asro baad Mile the Ek Dusre se

Khosiyon ka Waha Dera Laga tha..


Bhool kar wo Ladai Jo Hui bhi nhi thi

Ghar mein Uske Dastarkhan Saja tha.

Mahino baad ye Mehfil phir se Saji hai

Saath Baith kar Khana phir Dono ne Khaya hai..

Aaj wo laut kar aaya hai..

Aaj Khush hoon Main,

Par Khamosh bhi hoon.

Usse Puchna tha Tu Kaha gaya tha,

Par Shayad Wo bhi Iska hi Jawaab Chahta tha.

Mann mein Darr ka Mahool tha,

Ye Wapas toh nhi Chala Jaega?? Bas,

Ye Sawaal Zahen mein Ghum raha tha...


Ek Waqt Dono hi Khamosh ho gae the,

Kuch Baatien Yaad kar ke,,

Dono ki Aankhon mein Aanso the.

Lehro ka wo Sahil se Takrane ki Aawaaz,,

Hamari Dhadkano se Mil rahi thi..

Nazara kuch aaisa tha ki,

Dekh kar Nazara Koyal bhi Geet Gaa rahi thi..

Tanha tha jo Aab tak,

Mene ek Dost ko phir se Paya hai.

Mahino Baad hi Sahi.

Wo Laut kar Aaya hai…

Wo Laut kar Aaya hai…. 

21 January 2022

Aab Baatien Nhi Hoti…..

 

Aab Baatien Nhi Hoti…..


Tujhe Bahut kuch Batana hota hai

Tujhse Bahut kuch Sunna hota hai,

Par, Abb Tu Baat hi nhi Karta hai...

Tujhe Yaad hai Jab Bhi Mujhe Kuch hota,

Toh Tu har Baar Mujhe Sambhaalta tha

Main Jab bhi Roota tha toh,

Tu Hamesha Mujhe Hasata tha.

Tu har Pal Mere Saath rehta tha

Dost nhi Yaar, Mene Bhai Tujhe Mana tha

Tujhe Fikr thi Meri aur Mujhe Teri

Har Roz Tu Mera Haal Pucha karta tha..


Hum Dorr rehte the Ek Dusre se

Par Mujhe Doori ka Ahsaas hi nhi hota tha

Phir pata nhi kya hua, Tune kuch kaha bhi nhi,

Bas Mujhse Baat karna Band kar diya

Mene Wajah Janne ki Koshish ki..

Par Dhond nhi paya.

Tujhe se bhi Malum karni ki Koshish ki...

Par Tu Bata hi nhi paya.

Mana Galti Meri thi Par Bata Deta ki,

Kya Kiya tha Mene?

Par Tune Puchne ka Mauka hi nhi diya,

Kuch Batana tha Tujhe aur Tera Haal Puchna tha,

Par Aab na Bata paya na Puch paya...


Aakhiri Mulakaat toh Hamari,

Haste hoe khatm hoi thi!!

Toh uske Baad Tune Baatien karna kyu Chhod diya?

Abhi toh Tune Mujhse Milne ka Wada kiya tha??

Abhi Mile bhi nhi the,,

Isse pehle hi Tune ye Khvaab kyu Tod diya??

Kyu Baatien Band kar di Tune?

Kuch Tu Sunata tha, kuch Main

Do Baat kar Lete the Saath mein.

Accha nhi karni Baat toh Mat kar

Mujhse toh Puch Leta...

Tu yuhi Achanak Dosti Luta kar chala gaya

Aab Main ye Sochta reh jaoga ki, Mene Kiya Kya tha??

Mahine ho gae Tujhse Baat kiye

Aab toh Naya Saal bhi aa gaya,

Kyu chala gaya Tu Mujhe Akela Chhod kar,

Ye Sawaal bas ek Sawaal ban kar Reh gaya.

Tujhe Bahut Kuch Batana hai

Tujhse Sunna hai, Tere Saath Hassna hai

Par, Tu Abb Baat hi nhi Karta Hai…

11 August 2021

Main Wahi Milunga...

 

Main Wahi milunga...

Tumhara haa bolna Zaroori nhi,

Bas mere saamne Muskura diya karo,

Tum na bhi bolugi toh koi Baat nhi,

Bas mere Jasbaaton ko apna liya karo.

Tum nhi ho sakti meri, Shayad jaan chuka hu Main.

Kabhi-Kabhi sab Kismat mein nhi hota,

Ye Maan chuka hu Main.

Lekin saath Tumhare Main Hamesha chaluga,

Kabhi meri or Mudna ho,

Toh jaha se Shuruaat hui thi Main wahi Milunga.

Jaha kehne ko kuch nhi tha par,

Mehsoos karne ko bahut kuch tha Main Wahi Milunga.

Janta hu Tumhari Yaadon se woh Purane Zakhm bhare nhi hai,

Tumhe haa bolne se darr bhi lagta hai,

Kahi phirse kuch galat na ho jae,

Bas isiliye hamesha Khamoos rehta hoon.

Zyada khuwaishein nhi hai meri,

Sirf Tumhare saath chalna Chahta hoon.

Tumhari Annkhon mein,

main phir se khona chahta hoon.

Tumhare saath chalte chalte,

Earphone share karna chahta hoon.

Par ye kabhi nhi ho sakta ye maan choka hu main.

Agar yaad aai Meri toh,

Ye hawaon se Mera pata puchna,

Baarish ki boondon mein Tum Mujhe dhondna.

Pheli Barr jahan mene Tumko dekha tha,

Main tumhe Wahi Milunga.

Jaha Hawa ke jhoke ne hum dono ko,

Pheli barr chua tha Main Wahi Milunga.

 

Main bhi yaad kar liya karunga Tumhe,

Mausam ki Pheli Baarish ke Saath.

Doobte Hue Suraj ko Dekh kar,

Shayad aansu tak nikal aaye Tumhare liye.

Jaha Hum saath Chalte the unn Raston Par,

Shayad Tumhari Kami Mehsoos ho Mujhe.

Par koi baat nhi.

Lekin Main tumhe Yaad Aau toh Jaha Humne pheli baar

Ek durse se kuch kaha tha Main Wahi Milunga.

Jaha saath Milkar hase the hum

Main Tumhe Wahi Milunga.

Jaha Hamari Nazar pheli baar mili thi,

Par Hooth khamoos the Main Wahi Milunga.

Jaha hum dono ki Dhadkane aakhri baar,

Tej Hui thi Main Wahi Milunga.

 

 

 

 

 

 

 

30 July 2020

Kuch aisi apni yaari hai.

Kuch aisi apni yaari hai.
        Dosti kya hoti hai ? Iska matlab kya hai ?Hame pata nhi hota hai. Phir dheere dheere hamari zindagi mein kuch kamine aate hai. Jo dosti ka matlab batate hai, Jo batate hai ki dosti kya hoti hai. Aur mere pass inki kami nhi hai. Bahut yaade hai mere pass inki, meri zindagi inhi ki yaado se bhari hai.

Yaaro ki mahefil mein hum chale aae, gam ka paigaam lekar, par humme kya pata tha ki yaha, gam ka hi majaak ban jaega.
Agar dost saath ho, to Rone mein bhi shaan hai,
Aur dost na ho, to mahefil bhi shmashaan hai,
Sara khel dosti ka hai mere dost... kyuki dost ke bina zindagi bhi bejaan hai.
Bachpan se na jaane kitne dost banae, kuch ko main bhul gaya aur kuch ne mujhe bhula diya. aur kuch ab tak meri zindagi mein sani bankar baithe hai.
Ab to inke aadat ho gai hai.
Chahe jinta mazak bana le, par ek din bhi inse baat na karo to pura din khali khali sa jata hai. Jab bhi kabhi udasi ka Aalam hota hai, ye khushiyon ka paigam lekar aate hai.
Thodi meethi aur kafi khatee, thodi se awargi hai, dhop mein barish ho jaise, aaisi apni yaari hai. Inke paise inse jaida hamare hote hai, Aur kuch apne birthday par hamare paiso se, hame hi party de jate hai.
Kuch bina batae hamari setting laga kar aajate hai. Gussa to aata hai par inke saamne na jane kaha kho jata hai.
Mere harr ek pal ko khass tumne banaya hai, harr pareshani se mujhe bachaya hai.
cricket mein apna bat le kar hume chidana, aur out hone par waha se bhag jana, paiso ka rowaap dekhana, inki purani param-para hai.
Agar hum kisi aurse baat kare to jalan inhe hoti hai, hamari dosti hi kuch aaisi hai.
Yaha Dharm-Dhan se upar aakar yaarane ki beshumari hai, Dil mein jo aakar base kuch aaesi apni yaari hai.
Phone par “kya haal hai" nhi balki, “bhok”se shurowaat hoti hai, Whatsapp group me baato se jaida emoji se baat hoti hai, Phone hamara aur baatein inki hoti hai. Aur apne match ki practice hamare saath hoti hai, fighting inki aur petai hamari hoti hai. Par ek baat hai, Jeete ya Haare party bemisaal hoti hai.
Duniya chahe de kitne bhi zakham, ye saath ho to na maango main marham.
Meri yaado ke kaafilon mein qaid saari khushiya, saher chhoota, log chhoote, par chhoodo na ye Yaariyan.
Karodon ki is bheed mein inka chehra yaad hai,
Magroor hai ye Aashiqui, sukoon sirf dosti mein. Duniya ke sare gam dhal jate hai bas tumhari ek hasi mein hai, Mushkilen 100 aa bhi jai, hausalon se sawari hai, khuda bhi puche raaz kya,
Kuch aaesi apni yaari hai...
Kuch aaesi apni yaari hai.......

Happy friendship day.......♥️

                    ____Mohd Anas Ansari