Woh Masoom si Ladki…
Ek Ladki thi Masoom si
Woh Khamosh si rehti thi
Jo apni Berang Duniya mein Magan thi
Sehar ka Waqt Khamosh sa Gujarta
Aur Raaton mein Tanhai thi
Khayalo mein Gujarti Zindagi ke Saath
Rangeeniyo se Bekhabr thi
Magar phir yu hua Ek Rozz..
Chahat ki Thandi Hawa usko Chukar Gujri
Uski Berang Duniya mein
Jaise Jaan si aa gai
Mano uske Khaabo ko Tabeer Mil gai
Jo Chup-Chap Woh rehti thi kabhi
Aab Woh Shokh si rehne lagi
Uski Berang Duniya mein Woh
Apni Chahat ke Rang Bharne aaya tha
Jo Khayalo mein thi kabhi
Usko apni Duniya Banana aaya tha
Us Nadaan ko Ishq se Roh-ba-Roh
Karwane Woh aaya tha
Pyaar hua, Ikraar hua, Mohabbat ka Agaaj hua
Aab Woh Hasti, Khilkhilati rehti thi
Dekh kar us Dewaane ko
Uske Rang mein Rangne lagi thi
Nadaan thi Woh usne dekhi Duniya nhi thi
Uss Dewaane ke Kirdaar se
Woh abhi Bekhabr thi
Fir aisa hua Ek din
Lamhe Khusiyon ke Bikhar se gaye
Mohabbat toh Jeet li thi usne
Magar Taqdeer se Haar baithi thi
Woh chala gaya uski Mohabbat ko Cheen kar
Woh Masoom abhi bhi uske Intezaar mein Baithi thi
Kismat ki is Maar ko Chup-Chap Sehti rahi
Dard Zindagi bhar ke Mile usko
Woh har ek Iljaam apne upar leti rahi
Woh Masoom thi Nadaan thi
Apne Aansoo ko Peeti rahi
Woh Ishq Ke khel se Anjaan rahi
Who Ishq ke khel se Anjaan rahi