Hausalon Ke Jazbe
Log aksar duniya ko jeetne
ki sochate hain .are jeetana hain to logon ke dilon ko jeeto yaaro. Duniya mein
kya rakha hain. Kyu..ki duniya jeet kar bhi sikandar khali haat hi gaya tha. Bas housala
buland rakho, kyuki jo insane akela chalne ki himmat karta hain ek din kaaphila
usske peeche chalta hain. Tum doosaron ko khodse compare mat karo, kya pata jo
uuske pass nhi hain vah tumhare pass ho. Hajaron toophaan aaege, museebate aaegi, laakon kathinaiyaan aaegi saamane, par tum himmat mat haaro.tum koshish
karte raho, kyuki koshish karne walo ki kabhi haar nhi hoti. Mat bhoolo gulaab
ka phool bhi kaanto ke beech mein khilta hain. Tum museebat se daro mat balki
usska saamna karo. Kyuki tum jitana daroge uttni hi pareshaaniya aaegi. Bas tum
apna laksa mat khona. Tum aage badhte rehana, aage badhte rehana. Tabhi tum
apni manjil tak pahunch paege. So be confident, apna confidence ko mat tootene
do. Sapne tootege par ek sapna tootene se tum mat ruko, doosara sapna dhekho
vah toota to teesra dhekho koi tu pora hoega. Kyuki ‘practice makes man
perfect’. Yaad hain Thomas Edison 1000 se bhi jaida bar fail hue the, tab
jaakar ek bulb ki khooj kar pae the. Tum koshish karte raho tumhe bhi phal
jaroor milega, sabr rakho bas…….
Tum apni nakamiyo ko apne taaakat banao.
Jo cheez tumne aasani se mil jaati hain vah hamesha tak nhi hoti, aur jo
hamesha tak hoti hain vah aasani se nhi milti. Kissi mahaan purosh ne kha hain
ki, "Apni pheli jeet ke baad aaram mat karo. kyuki gar aap dursi baar haar gae, to adhik log ye kehne ki rah dekhe ge ki, apki pheli jeet sirf apka luck tha." You know
which great person has said this, our missile man and former president of India ,
Dr. A. P. J. Abdul Kalam. To hausala mat tootene do.
Mushkil is duniya me kuch bhi nhi,
Phir bhi log apne iraade tod dete
hain...
Agar sachche dil se ho chahat kuch pane
ki,
To sitare bhi apni jaghan chhod dete
hain…
__ Md Anas
Ansari..