January 2020 ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

26 January 2020

Is Maati Mein Hai Janam Liya..


Iss Maati Mein Hai Janam Liye .....

        Yha goli khakar bhi,
      har Jawaan hasta hai,
 ye desh hai mera jha har dil,
    mein bharat basta hai.
   
     Today is 26th January mean our Republic day. You know why we celebrate this? 26th January me ek constitution was adopted for freedom ki hum ko Purna Swaraj means full Indian Independence cahiye. Tu is 26th Jan ke moke par mene  ek kavita likhi hai. tu suro karte hain.
   
         Is Maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.
Aai musibat koi tere ann par,
Main sabse lad jaunga.
Rahe Azad ye Desh mere tu,
Main jaan tujh par lotaonga.
Is maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.

Lahu se shichuga teri dharti,
Ek bar phir itihaas dhoraunga,
Yuddh ke maidan mein,
main geet josh ke gaunga.
Baat hoi kuch aisi to main,
Rajguru aur Bhagat singh ban jaunga.
Is maati mein hai janam liye,
Is maati mein mil jaunga.

Jahan ekta ka phera ho,
Jaat-paat ka na masla ho,
Main insaniyat aage badaunga.
Jahan bharastachar ki baat na ho,
Main aman aasa launga.
Is maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.

Koi bhukha na mare yahan,
Main sabki bhukh mitaunga,
Shiksha mile yahan sabko,
Main aisa Desh banaunga.
Iss maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.
Bata do un hakmrano se.

Bata do un hakmrano se,
Na koi aab fasad kare,
Bhrashtachar ki Aag mein yoo na,
Desh mera barbaad kare.
Main matra-bhumi ki laj ke khatir,
Maut se lad jaunga.
Is maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.

Main sarhad par jakar,
Khon ki holi kheloga,
Desh rahe Abaad ye mera,
Main shatru se lad jaunga,
Faqra ho bharat maa ko apne lal par,
Main wo lal ban jaunga.
Uucha rahe Tiranga hamara,
Vande-Mataram ke nare lagaunga.
Is maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.
Is maati mein mil jaunga….
                              Jai Hind....
  
             Happy Republic Day to all of you

   kavita acchi lagi tu comment, share and follow karo 

01 January 2020

Ae jaate hue saal....AA baith..

Ae jaate hue saal


  I wrote about 2019, how important it was for me.... Toda late ho gaya hoo alvida kahene main kyuki kal new year ka welcome kar raha tha..to ab pyaar se alvida karte hain...


                Ae jaate hue saal, Aa baith tere sath ki masti, aur jo bhi yaade hain usska karte hain hisab. Yaad hain kuch naye resolution se shuru hua tha rishta hamara. kuch bada karenge milkar aisi hui thi hamari baat. January mein yah irade to kuch din chal gaye, par February aate hi jaane kha bikhar gaye. 10th ka woh exam mene tere sath diya, hatash tha main par tune khushiyo mein uljhai rakha. Kabhi tune dukho ki dukaan dikhai tu kabhi khushiyo ki nadiya bahai. bahut dost the mere phele, par kuch tu apne sath laya, kuch ko main bhul gaya aur kuch ne mujhe choda, khushiya tu bahut di tune, Ae saal par kambakhat dil kai martaba toda. Tere sath ki mene kai apni khwahish puri, tune mera har din alag banaya, par phir bhi naye sapne dikhane se Ae saal tu baaz na aaya. Kuch khwahish thi meri jo puri na ho pai, abhi taazi hain tu kya hua, kho jayegi yeh bhi jaise phele kho gai. Kabhi tujhse rahi shikayat, tu kabhi khud se rahi gila, ye dosti thi hamari aisi ki tujhse zaroorat ka sab kuch mila. maan gaye Ae saal ye tera hisab hain, khatte-methe yaadon ka samandar tere sath hain, tu lajawab hain,,, tu lajawad hain.
Toda badla tune mujh mein kuch, phir bhi  mujhko main banai rakha, Ae saal tune ye pyaara sa rishta mere sath banai rakha. kai khushi, kai dukh, kai sapne, azadi tu lekar aaya tha, sab luta kar gaya, kitni yaade bikher kar tu chala gaya...tu chala gaya...   Alvida 2019 

           Thankyou so much 2k19
                         AND
              Welcome 2k20

       kon-kon miss kar raha hain 2019 ko, aur konsi wish baki hain jo 2019 mein puri nhi hoo pai....koi baat nhi is saal jaroor ho jaigi..

  HAPPY NEW YEAR TO ALL OF YOU 
                           

Accha laga to please comment kar ke batana please. accha lagta hain aur mujhe likhne mein bhi accha lagta hain.......
                                  
                                  ___Mohd Anas Ansari