April 2020 ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

28 April 2020

Kaash koi hota..

                             Kaash koi hota ....
     
        Ye uss waqt par likha gaya hai, jab ek shakhs akela dard se ghira, thoda mayus kisi ki yaad mein ek band kamre mein baith kar apne Dil me ek lafz baar-baar dohrata hai ki 'Kaash'....
   
   
      Kaash koi to hota jo mujhe samaj pata, jo mere hathon ko thamta, kaash koi hota jo is rote chehre par ek nai muskurahat la pata. Main thoda nadaan hoon, thoda pagal hoon, dard se ghira hoon, kuch Duniya se anjaan hoon, kaash koi hota jo mujhe is Duniya se rubaru karata. Kaash koi hota jo meri nadanyo ko apni khushi maan leta.
Parivar ka pyaar to khoob dekha, par koi to hota jo mere dil ki sunta. Kaash koi hota jo mujhe apni jaan se jaida pyaar karta. Kaash koi hota jo meri raat aur mera din dono hota. Koi hota jo meri Dhadkano ki Dhadkan me basa hota. Koi hota jiski aankhon mein main kho jata. Koi hota jiski baatein sun kar main chup ho jata. Kaash koi hota jo mujhe samaj pata.
Koi hota jiske aane par me sab bhool jata. Kaash main bhi kisi ke nakhre sehta. Kaash koi hota jo mujhe samaj pata. Koi hota jo mere is banjar Dil ko bagicha bana deta. Koi hota jo mujhse shuru aur mujh par khatam hota. Kaash koi hota jo mujh jaise bhatke musafir ko apne saath le jata. kaash koi hota jo mujhe samaj pata.
Mere Dil me qaid is pyaar ko. Meri dhadkan ki Raftaar ko, kaash koi hota jo samaj pata. Zindagi to dekh li is Duniya mein par kaash koi hota jo mujhe apni zindagi banata. Me hasu ye soch kar jo rona chodd deta, mere sapno ke liye jo sona chodd deta, mere saath rehne ke liye jo alishaan Mahal chodd deta, kaash koi hota jo Dil se kaam leta.
Kaash koi hota jo mere gunaho ka ilzaam apne sir leta. Koi hota jo mujhe apne sine se laga leta. Koi hota jiska Kandha mere sir ka takht banta. Koi hota jo mujhe mujh se chura le jata. Koi hota jiske sapne mukammal karna mera hakk hota, kaash koi hota jo mujhe samajh pata.
Qaid hu ek pinjre me pakshi ki tarah kaash koi hota jo mujhe is pinjre se udakar le jata. Koi hota jo bin kahe sab sun leta. Koi hota jo Muskan ke piche ke aansu padh leta, koi hota jo is dil ki becheni ko Sunta, koi hota jo har baat meri aankhon se padh leta, koi hota jise mere dard se dard hota, kaash koi hota jo mujhe samajh pata.


Baith jata hu raat ko sitaron ke saath apne gam bhulane ke liye, chand se hoti h kuch guftgu kisi ki yaad me, ki mile koi to de dena use mera ye paigam, ki hai koi jo teri yaadon mein khoya rehta hai. Jab bhi baatein karta hai to, 'kaash koi hota' yahi sunata rehta hain.. kaash koi hota bas ye fariyaad karta rehta hai...
                    
                         ____Mohd Anas Ansari...
          

06 April 2020

Khamoshi.....

       
                    Khamoshi 

         Khamoshi... ek aisi cheej hai, jo batai nhi jaati, sirf dikhai deti hai. Aur jo shakhs khamoshi ko na dekh saka, usne kuch nhi dekha. Log uhi bewajah khamosh nhi hote, pta nhi wo kya kya seh-chuke hote hai.
          Kabhi kabhi insaan dard ke saamne rota nhi balke, khamosh ho jata hai. Aur uski khamoshi se sirf khouf... ki awaaz aati hai.
           Kabhi kabhi kisi apne ko khokar bhi log khamosh ho jate hai. Aur khamoshi unki awaaz or dard dono ko chheen leti hai.
           Khamosh rehna bhi accha hai is duniya mein, kyuki kai log baaton ka galat matlab nikaal ne lagte hai. Aur kabhi kabhi Alfaz.. se zyada khamoshi jawaab de jati hai.
           Khamoshi ka matlab ye nhi hai ki insaan khamosh hai balke, ye hai ki wo thak chuka h apne dard ke aage.
         
 kabhi kabhi to khud hi chup ho jane ko mann karta hai. Kyuki ye dil chahta hai ke hum kuch na bole, aur saamne wala hamare dard ko jaan le, aur hame khamoshi se samet le.
            Is Duniya me kisi ko fark nhi padta, mere hone ya na hone se, mere hasne se ya Rone se, mere lafzo se ya phir mere bahut khamosh ho jane se. Jab andar tak gehri khamoshi ho, to beshak khamoshi ke siwa har awaaz takleef.. deti hai.
           Koi sab kuch kehkar pyaar jatata hai, to koi khamosh rehkar sab kuch keh jata hai.
           Ab baat ye hai ke lafzo se hi khamoshi toot jati hai, aur phir lafz hi hame khamosh kar dete hai. Kabhi kabhi shakhs haar jata hai... Ummeedein rakhtey-rakhtey, Rishtey nibhate-nibhate, Khamosh rehte-rehte, Aur kabhi kabhi khud... se.
 

         Duniya chahe jo kahe, par mere liye khamoshi bahut keemti cheej hai. Kyuki khamoshi se maangi hui Dua.. sirf Rab sunta hai. Fiza ki khamoshi dil ko shant kar deti hai. Jab tum Jahilo se ghire ho tab tumhe tumhari khamoshi hi bachati hai.
           Par ek baat hai khamoshi ek jaisi nhi hoti, Dard ki khamoshi tume ander se tod deti hai. Aur ye kambakht khamoshi mera saath nhi chhodti hai, chahe dard ho ya khushi. Kabhi bhi mujhe khamosh kar deti hai. Aur me khud ko pata nhi kahan kho deta hoon..
            Ab ye khamoshi Sahi nhi jati hai, thak chuka hun main is Khamoshi se, par kya karu khamoshi ke bina ek pal raha bhi nhi jata..

                              ___Mohd Anas Ansari