2021 ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

19 December 2021

Chai.....

Chai…

Hui khatam kisise Baat ho,

Ya mil jae koi Ajnabi,

Aur Dosti ki Shuruaat ho.

Ya Dil kabhi jo roo pade,

Ya Khil-khilata Mann ho.

Har Waqt yaadgaar hota hai,

Wo Waqt sirf-aur-sirf mera hota hai,

Aur Khubsurat lagti hai ye Zalim Duniya bhi,

Jab ek Cup Chai ka sahara hota hai..

Jab bin Mausam Barsaat ho

Ya Garmi ki wo Shaam ho,

Doston ki wo Mehfil ho

Ya Ghar me koi Tyauhaar ho,

Chahe December ho ya June ho

Chai har Mausam mein Sukun hai.

Chahe 5 star Hotel ho ya Raste ki wo Choti si Dukan

Har Mauke ki Noor hoti hai,

Ye Chai har Mauke par jaroor hoti hai.

Subha ke Akhbaar ki ye Saathi hoti hai

Dhalte Suraj ki ye Laali hoti hai

2 Ashiquko ke lie ye Muhabbat ki Nishani hoti hai,

Bhatakte Mushafir ke thakam ka ye Sahara hoti hai

Mehmano ke aage ki ye Shaan hoti hai,

Ye Chai hai janaab har Pal Mein Khass hoti hai

Din ka Aagaj aur Khatm isi ke saath hota hai

Jahan do Dost baith jai saath mein bas,

Iska hi Intezaar hota hai

Iske Jaayake ke saath Yaadein kuch Taza ho jati hai

Ye Chai hi hai jo nai yaade Bakher jati hai

Thakan ke waqt ye Sahara ban kar aati hai

Ek Cup Chai saari Thakan meta kar chali jaati hai.

Mohabbat karne walo ke lie,

Wo Adrak wali Chai,

Shaam ko Baithe wo Masale wali Chai,

Doston ki masti mein wo Tapri wali Chai,

Wo Kulhad ki Mahek mein Ghulti Chai..

Chai zindagi hai mere Dost,

Chahe wo Subah ki ho ya Shaam ki

Chai ki ek Chuski Sukoon le aati hai.

Chai Ishq hai chai Pyaar hai

Iske aage sab Bekaar hai

Chai Nasha hai chai Maza hai

Chai Mithi si koi Saja hai

Doston ke saath Chai ka Rishta hum Hak se Nibhate hai

Are hum toh Chai bhi Dil se banate hai


Toh kisi Din Milte hai Chai par...

Doston ke Saath Mulakat

    Ek Cup Chai ke Saath.....

18 October 2021

Bachpan

 

Bachpan..


Bachpan ki wo ameeri jane kaha chali gai,

Jab paani me hamare bhi jahaaj chala karte the

Aur hawa mein hawai-jahaaj bhi hamare hua karte the

Mitti ka hi sahi, par Mehal hamare bhi hua karte the.

Na kamaane ki Fikr, Na Zamaane ka dukh

Bas khushiyon se bhari Zindagi thi,

Aaj Zimmedaariyan hai, Tab khilkaariyan hua karti thi

Aaj Jaroorten hai, Tab khvaahishen hua karti thi.

9 baje Pokemon aur 9:30 baje Beyblade tha

Hero mein Shaktiman hi apna favourite tha

Wo Hatim ke 7 sawaal ka pura karna,

Aur Vikram ka Gabrool se wo sone ke sikke lekar

Kahani sunana ek alag hi maza hua karta tha.

Jisska Bat pheli uski batting, Aur out hua toh

Ammi bola rahi hai ye hi bahana hota tha.

Tab din pakdam-pakdai, gilli-dandda se shoru hota tha

Aur chor-police, chupam-chupai pe Khatam.

Maidan me khelne ki jagah nhi hua karti thi

Jo jeeta wo hi khelega phele bs ye hi sarth hua karti thi.


Wo cycle ke tire ko apni gaadi maan lena

Aur phir doste ke saath race lagana,

Kanche, Lagori, lattu, jab har ek khel mein maza tha.

Tab Pubg nhi tha yaar, wo contra ka zamaana hua karta tha.

Tab ye pepsi, coca-cola aur sprite nhi yarr

Wo kanche wali Banta ka zamaana hua karta tha.

ShakLaka Boom Boom wali pencil ko pana,

Hamari chahat hua karti thi

Tab Zindagi bahut hi Simple aur Haseen hua karti thi.

Bina degree ke Doctor ban jate the

Aur dawai ke naam par chote-chote patthar dete the.

Wo choti choti baat par doston se laddna-jhagadna

Tujhse kabhi baat nhi karunga bolkar,

Sham ko ussi ke pass jakar baith jana.

Ek pal mein masti aur dusre hi pal masoom ho jate the

Malik the apni Marzi ke har pal mein khush rehte the.

Tab lagta tha ki ye filmo me actors

Gaana khud hi gaate hai,

Aur har baar inke kapde kaise badal jaate hai.


Roo Rookar school jate aur chutte waqt,

Sabke haath mein O-YES hota tha

250 cards jama hone par bas,

Watch milne ka intezaar rehta tha

Wo sachi muskurahat hothon par,

Aab kaha dekhne milti hai

Muskurahat, Tabassum, Hassi, khilkaariyan sab kuch

Naa jane kaha kho gai.

Dekhte hi dekhte pata nhi hum kab bade ho gae.

Chahat Chand ko pane ki thi

Aur manzil ki koi khabar na thi.

Aaj ke din naa jane kaise gujar rahe hai

Main shukr-gujaar hoo ki mere Bachpan ke din

Bachpan jaise gujre hai..

11 August 2021

Main Wahi Milunga...

 

Main Wahi milunga...

Tumhara haa bolna Zaroori nhi,

Bas mere saamne Muskura diya karo,

Tum na bhi bolugi toh koi Baat nhi,

Bas mere Jasbaaton ko apna liya karo.

Tum nhi ho sakti meri, Shayad jaan chuka hu Main.

Kabhi-Kabhi sab Kismat mein nhi hota,

Ye Maan chuka hu Main.

Lekin saath Tumhare Main Hamesha chaluga,

Kabhi meri or Mudna ho,

Toh jaha se Shuruaat hui thi Main wahi Milunga.

Jaha kehne ko kuch nhi tha par,

Mehsoos karne ko bahut kuch tha Main Wahi Milunga.

Janta hu Tumhari Yaadon se woh Purane Zakhm bhare nhi hai,

Tumhe haa bolne se darr bhi lagta hai,

Kahi phirse kuch galat na ho jae,

Bas isiliye hamesha Khamoos rehta hoon.

Zyada khuwaishein nhi hai meri,

Sirf Tumhare saath chalna Chahta hoon.

Tumhari Annkhon mein,

main phir se khona chahta hoon.

Tumhare saath chalte chalte,

Earphone share karna chahta hoon.

Par ye kabhi nhi ho sakta ye maan choka hu main.

Agar yaad aai Meri toh,

Ye hawaon se Mera pata puchna,

Baarish ki boondon mein Tum Mujhe dhondna.

Pheli Barr jahan mene Tumko dekha tha,

Main tumhe Wahi Milunga.

Jaha Hawa ke jhoke ne hum dono ko,

Pheli barr chua tha Main Wahi Milunga.

 

Main bhi yaad kar liya karunga Tumhe,

Mausam ki Pheli Baarish ke Saath.

Doobte Hue Suraj ko Dekh kar,

Shayad aansu tak nikal aaye Tumhare liye.

Jaha Hum saath Chalte the unn Raston Par,

Shayad Tumhari Kami Mehsoos ho Mujhe.

Par koi baat nhi.

Lekin Main tumhe Yaad Aau toh Jaha Humne pheli baar

Ek durse se kuch kaha tha Main Wahi Milunga.

Jaha saath Milkar hase the hum

Main Tumhe Wahi Milunga.

Jaha Hamari Nazar pheli baar mili thi,

Par Hooth khamoos the Main Wahi Milunga.

Jaha hum dono ki Dhadkane aakhri baar,

Tej Hui thi Main Wahi Milunga.

 

 

 

 

 

 

 

11 May 2021

Pata nhi kya ho raha hai??

Pata nhi kya ho raha hai??

 


Pata nahi kya Ho raha hai?

Life me Kuch bhi ek jagah tik hi nhi paa rha hai,

Jaisa uska Mood hai waisa dikh hi nhi paa raha hai,

Shayad waqt pehle jaisa nahi raha,

Ya Woh pehle jaisa nhi raha.

Woh apni ek ek baat kisi ko batana chahta hai, 

Lekin sirf unka haal-chaal puchke aa jata hai,

Ab toh Ghar me bhi kisi se baat nhi ho rahi hai,

Maa-Baap ki toh usse ummeed hi uth rahi hai.

Aisa lagta hai koi hai hi nhi

Jo uski takleef ko sune,

Aur badle me apni bhi kuch kahe.

Jisse woh Pyar karta hai vo bhi,

Bas dost bol kar taal deti hai.

Itna izhaar karta hai usse,, par

Vo bhi uski baat hawa me uchaal deti hai.

Jo Dost kabhi chehre pe shikannj nhi aane dete the, 

Aaj vo begaane hue baithe hai.

Aur woh unki yaado me Deewana bana baitha hai.

Din jaise-taise gujaar ne ke baad jab,

Raat ko sone ke waqt Takiye pe sar rakhta hai,

Neend toh door, bas din bhar ki Baatein

Woh khud se hi kiya karta hai.

Akele rote waqt jab woh kisika sahara chahta hai,

Apne aapko akela Dewaaro ke bech ghira paata hai..

Kyuki Rote nhi ladke bachpan se usne yahi sikha hai.

Pehle Maa-Baap ne,

 Phir dosto ne aur phir teachers ne,

Bhi Rone se Roka hai..

Woh apne andar hi khoya rehta hai,

Har pal me wo khushi dhundta hai.

Khud ko akela paa raha hai woh,

Kisi se nhi keh paa raha hai woh.

Log uski is haalat ko bewakoofi ka naam de dete hai.

Jo apne kareebi hai uske ab toh vo bhi

Ignore karke Anjaam bata dete hai.

Ab toh uski dosto se baat kaha hoti hai,

Sab waha ek-dosre se mil rahe hote hai,

Aur uski Unse mulaqat kaha hoti hai..

Real life me itna akela pan hai ki

 Dusro ka gam dekh kar,

Apni aankhe nam kar raha hai woh.

Status aur Stories pe post nhi karta,

Vo jo mehsoos kar raha hai woh..

Sab kuch sahi hai yaa......

Usse hi koi galti ho rahi hai?

Jitna khush Bahar se woh dikhta hai,

Dil-hi-Dil me utni hi tanhaai mehsoos karta hai woh...

Woh khamosh hai apne khayalo ke aage,

Par nakaam nhi hona chahta hai.

Woh janta hai ki woh toot chuka hai.

Lekin woh haar nhi manna chahta hai.

Woh pareshan rehta hai apne khayalo ko lekar,

Dard ko chupa kar woh hasna Chahta hai,

Par reh nhi pata.

Har pal me woh khushiya dhundta hai,

Par dhund nhi pata.

Toh puch liya karo tum bhi,

Apne doston se unka haal unse.

Shayad isse unko kuch pal khushi ke mil jae,

Kar liya karo baat unse..

21 March 2021

Zindagi

 Zindagi...

 


Zindagi ek uljhi si paheli hai,

Dard aur gam toh mano iski saheli hai.

Saat aksharo ka shabd hai tu,

Par hazaron hai tere naam, ZINDAGI.

Na jaane kyu darbadar ho rahi hai aaj Zindagi.

 Khushiyan or gam jahan se behte hai waqt-waqt par,

Wo sukha pada Nal hai tu,

Bina ticket ke jo kabhi kiya tha, wo safar hai tu

Jin raaston par chal kar bhatak jane ko karta hai mann,

Wo Anjaan Dagar hai tu.



Jo dekhe the mene Aankhon mein sapne,

Wo chamakta sahar hai tu.

Shayad jo khai thi Maa ke haath ki,

Wo Sokhi Roti or Achaar hai tu.

Ya jo padi thi teacher se,

Wo pyaar bhari dande ki maar hai tu,

Gira kar jisne chalna sikhaya,

Khud rula kar jisne hasna sikhaya,

Wo bhetareen ustad hai tu.

Jisne samajh liya tujhe uske lie,

khushiyon se mehka bagaan  hai tu,

 


Aur jo ulajh kar reh gaya tujhme,

Uske lie simta hua ek kabristan hai tu.

Jo guzar gaya wo bita kal hai tu,

Jo chal raha wo behta ek pal hai tu.

Ek pal mein andhera ek pal mein jo ujala kar jae,

Aesi jadugar hai tu.

Zindagi Ae zindagi tere safar par jo chala,

Usne mud kar dekha nhi.

Aur jo tera na ho saka wo khud ka bhi nhi.


                                 Mohd Anas Ansari


01 January 2021

Saal tere badle rango se....

Saal tere badle rango se..... 


        2020 is saal mein jo jo hua hai wo koi nhi bhul sakta hai. is saal mein koi musibate aai hai. Jahan is saal ne hame har baar musibat mein dala hai wahi kahin na kahin hame kuch na kuch sikhaya hai. Jahan kai parivaar saath mein nhi rehte the, is saal mein sabne saath baith kar 3 waqt ka khana khaya hai. Toh aaj 2020 ke lie...



Khamoshi odh kar sannate ne shor machaya hai

Khuda ne dekho ye kaisa manjar dikhaya hai

Kahin lagi Aag kahin aaya Toofan

Kahin giri Bijli kahin fata Baadal

Har taraf laga Lasho ka Ambar

Kahin Baadh mein sab Barbad hua

Dekhte-hi-dekhte Sansaar ka vinaash hua

Basti ujad gai kisi ki, Sahar ka sahar barbaad hao

Assmaan mein chai thi badli

Kidon ka jo hamla hua

Ek tofaan aisa aaya jo duniya hi ujaad gaya

Dharti fisal gai paron tale

Dar-ba-Dar Sansaar hua

Kai chirag bujhe aangan ke

Khushiya bhi kai barbaad hui

yu ulti ghumi Zindagi

Ki sari Duniya hi tabaah hui

Ek saal mein maano janmo ka nuksaan hua

Zindagi mein zindagi ka jeena hi muhaal hua

Zindagi mein Zindagi ka jeena hi muhaal hua.....



Yu to khub rulaya tune

Har baar hi sataya tune

Kaha nhi bhatkaya tune

Par khush hoon...

Khush hoon isi bahane mene

Gir kar bhi jeena sikh liya

Saal, tere badle rango se 

Mene jeena sikh liya



Saath mere doctor aur javaan bhi the

Na dekhi dharm aur jaat

Sabke khatir bhid gae khud hi

Aakhir vo insaan hi the

Apni akad bhula kar Sabne

Thoda jhukna sikh liya

Saal, tere badle rango se

Mene har pal mein rehna sikh liya

Jab muskhil mein sansaar sara tha

Toofano ka dar par pehra tha

Hamare sapno ko pura karna tha

Tab milkar himmat kari sabne

Humne milkar udna sikh liya

Saal, tere badle rango se

Har pal mein udna sikh liya

Saal, tere badle rango se

Mene jeena sikh liya

Mene jeena sikh liya...

                                                            Alvida 2020


               Main Dua karta ho ki 2021 mein aapke chere ki ye muskorahat kabhi na jae, aap hamesha khush raho, aapki har nek Dua kabool ho aur aap hamesha fit n fine rahe..............Ameen


Aap sabhi ko meri taraf se nae saal ki bahut bahut Mubarak baad