January 2021 ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

01 January 2021

Saal tere badle rango se....

Saal tere badle rango se..... 


        2020 is saal mein jo jo hua hai wo koi nhi bhul sakta hai. is saal mein koi musibate aai hai. Jahan is saal ne hame har baar musibat mein dala hai wahi kahin na kahin hame kuch na kuch sikhaya hai. Jahan kai parivaar saath mein nhi rehte the, is saal mein sabne saath baith kar 3 waqt ka khana khaya hai. Toh aaj 2020 ke lie...



Khamoshi odh kar sannate ne shor machaya hai

Khuda ne dekho ye kaisa manjar dikhaya hai

Kahin lagi Aag kahin aaya Toofan

Kahin giri Bijli kahin fata Baadal

Har taraf laga Lasho ka Ambar

Kahin Baadh mein sab Barbad hua

Dekhte-hi-dekhte Sansaar ka vinaash hua

Basti ujad gai kisi ki, Sahar ka sahar barbaad hao

Assmaan mein chai thi badli

Kidon ka jo hamla hua

Ek tofaan aisa aaya jo duniya hi ujaad gaya

Dharti fisal gai paron tale

Dar-ba-Dar Sansaar hua

Kai chirag bujhe aangan ke

Khushiya bhi kai barbaad hui

yu ulti ghumi Zindagi

Ki sari Duniya hi tabaah hui

Ek saal mein maano janmo ka nuksaan hua

Zindagi mein zindagi ka jeena hi muhaal hua

Zindagi mein Zindagi ka jeena hi muhaal hua.....



Yu to khub rulaya tune

Har baar hi sataya tune

Kaha nhi bhatkaya tune

Par khush hoon...

Khush hoon isi bahane mene

Gir kar bhi jeena sikh liya

Saal, tere badle rango se 

Mene jeena sikh liya



Saath mere doctor aur javaan bhi the

Na dekhi dharm aur jaat

Sabke khatir bhid gae khud hi

Aakhir vo insaan hi the

Apni akad bhula kar Sabne

Thoda jhukna sikh liya

Saal, tere badle rango se

Mene har pal mein rehna sikh liya

Jab muskhil mein sansaar sara tha

Toofano ka dar par pehra tha

Hamare sapno ko pura karna tha

Tab milkar himmat kari sabne

Humne milkar udna sikh liya

Saal, tere badle rango se

Har pal mein udna sikh liya

Saal, tere badle rango se

Mene jeena sikh liya

Mene jeena sikh liya...

                                                            Alvida 2020


               Main Dua karta ho ki 2021 mein aapke chere ki ye muskorahat kabhi na jae, aap hamesha khush raho, aapki har nek Dua kabool ho aur aap hamesha fit n fine rahe..............Ameen


Aap sabhi ko meri taraf se nae saal ki bahut bahut Mubarak baad