October 2021 ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

18 October 2021

Bachpan

 

Bachpan..


Bachpan ki wo ameeri jane kaha chali gai,

Jab paani me hamare bhi jahaaj chala karte the

Aur hawa mein hawai-jahaaj bhi hamare hua karte the

Mitti ka hi sahi, par Mehal hamare bhi hua karte the.

Na kamaane ki Fikr, Na Zamaane ka dukh

Bas khushiyon se bhari Zindagi thi,

Aaj Zimmedaariyan hai, Tab khilkaariyan hua karti thi

Aaj Jaroorten hai, Tab khvaahishen hua karti thi.

9 baje Pokemon aur 9:30 baje Beyblade tha

Hero mein Shaktiman hi apna favourite tha

Wo Hatim ke 7 sawaal ka pura karna,

Aur Vikram ka Gabrool se wo sone ke sikke lekar

Kahani sunana ek alag hi maza hua karta tha.

Jisska Bat pheli uski batting, Aur out hua toh

Ammi bola rahi hai ye hi bahana hota tha.

Tab din pakdam-pakdai, gilli-dandda se shoru hota tha

Aur chor-police, chupam-chupai pe Khatam.

Maidan me khelne ki jagah nhi hua karti thi

Jo jeeta wo hi khelega phele bs ye hi sarth hua karti thi.


Wo cycle ke tire ko apni gaadi maan lena

Aur phir doste ke saath race lagana,

Kanche, Lagori, lattu, jab har ek khel mein maza tha.

Tab Pubg nhi tha yaar, wo contra ka zamaana hua karta tha.

Tab ye pepsi, coca-cola aur sprite nhi yarr

Wo kanche wali Banta ka zamaana hua karta tha.

ShakLaka Boom Boom wali pencil ko pana,

Hamari chahat hua karti thi

Tab Zindagi bahut hi Simple aur Haseen hua karti thi.

Bina degree ke Doctor ban jate the

Aur dawai ke naam par chote-chote patthar dete the.

Wo choti choti baat par doston se laddna-jhagadna

Tujhse kabhi baat nhi karunga bolkar,

Sham ko ussi ke pass jakar baith jana.

Ek pal mein masti aur dusre hi pal masoom ho jate the

Malik the apni Marzi ke har pal mein khush rehte the.

Tab lagta tha ki ye filmo me actors

Gaana khud hi gaate hai,

Aur har baar inke kapde kaise badal jaate hai.


Roo Rookar school jate aur chutte waqt,

Sabke haath mein O-YES hota tha

250 cards jama hone par bas,

Watch milne ka intezaar rehta tha

Wo sachi muskurahat hothon par,

Aab kaha dekhne milti hai

Muskurahat, Tabassum, Hassi, khilkaariyan sab kuch

Naa jane kaha kho gai.

Dekhte hi dekhte pata nhi hum kab bade ho gae.

Chahat Chand ko pane ki thi

Aur manzil ki koi khabar na thi.

Aaj ke din naa jane kaise gujar rahe hai

Main shukr-gujaar hoo ki mere Bachpan ke din

Bachpan jaise gujre hai..