July 2022 ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

23 July 2022

Zaroori Nhi...

 Zaroori nhi…


Zaroori nhi jo Tumhe Dikhata hai,

Woh har bar Sach hi ho.

Zaroori nhi jo Hamesha Khilkhilata hai,

Woh sach mein utna hi Khush ho.

Zaroori nhi jaesa Tasveero mein dikhta hai,

Woh Haqeekat mein bhi waesa hi ho.

Aur jo sabko Motivate karta hai

Kya pata Raaton ko khud hi Rota ho. 


Jo sabki Pareshaniyon ko sunta hai

Kya pata Andar se Woh khud hi Pareshan ho,,

Kya pata Woh ye Batana chahta ho

Lekin Bata hi na Paa raha ho..

Zaroori nhi jisse Woh Pyaar kare

Badle mein Usko utna hi Pyaar mile

Jise dekh kar lage ki Zindagi ho toh aesi

Kya pata Woh Khud hi Sochta ho ki

 Ye Zandagi kyu hai Aesi?


Zaroori nhi Uske kai Dost hai

Toh sab Uski Baaton ko Samjhe

Kya pata Woh hi Baad mein

Khud ko Akela Mehsoos kar raha ho

Woh Bahar se jitna Khamosh Dikh raha hai

Kya pata uske Andar Utna hi shor ho.

Zaroori nhi Woh Khuli Kitaab ki

Tarah Dikh raha hai toh,

Woh waesa hi ho,,

Kya pata Uske Andar kitne Raaz Dabe ho..

Zaroori nhi jaisa Log usse Samajh rahe hai

Woh Haqeeta mein bhi Utna hi Hasmukh ho

Zaroori nhi Woh Waisa hi ho….

06 July 2022

Main Keh Na Saka..

 

Main Keh Na Saka..


Suno kaesi ho? Aapka naam?

Bahut Khobsurat Lag rahi ho.

Ye Main Usse kehna Chahta tha.

Par Keh na paya…

Ek Roz usko College ke Gate par dekha .

Dekhte hi na Jane Mujhe kya hua?

Ki Main Apne aapko Sambhal na paya

Uski wo Lehrati Zulfe,

Wo Annkhon mein Kajal,

Hoothon pe Ek Halki se Muskurahat,

Haatho mein Kitabe thi.

Kuch is tarah se Didaar hua tha Uska..

Socha jaakar Baat karo par,

Kar na saka? Naam se Anjaan tha

Wo Poch na saka..


Suno Akele Ghar jaa rahe ho?

Main bhi wahi Rehta hoon, Saath mein chale?

Ye Main usse Pochna chahta tha.

Par Poch na saka..

Sadak ke Ek Taraf uska Ghar tha,

Aur Dusri taraf Mere.

Uski ek Jhalak dekhne ke lie,

Aana Jana aab uski Galiyo se Hone laga tha.

Koi Pakad ke Poch na le,

Toh Bahana Aksar Taiyar hota tha.

Uske saath toh jane se raha!!

Toh socha Lecture mein saath Baith jae??

Suno wo Baithne ke lie Jagah nhi hai.

Kya Main yaha Aapke saath mein Baith sakta hoo?

Ye bhi Main usse Pochna chahta tha

Par Poch na saka..

Din aise hi Sochne Samajne mein Nikalte rahe.

Na Main kuch Poch saka,

Na kuch keh saka.


Dekhte-Dekhte College ka,

Wo Akhri Din bhi aa gaya…

Hello, Salaam.. Kheriyat? Main hoo..

Mene aapke ek Dost se Aapka number liya

Kya Hum mil sakte hai?

Ye Mene nhi…..

Thak-Haar kar Ussne hi Mujhse Poch liya..

Raat ka Waqt tha.

Mujhe ek Call aaya, Uska hi tha

Socha uhtao..ya nhi?

Phir Himmat kar ke utha liya.

Phir hamari Baatien Shuru hoi..

Baatien na jane kab Pyaar mein Tabdeel hui.

Ek Durse ke saath Waqt Gujaarne lage.


Din gujre phir gujre kuch Mahine..

Saal aate aate phir ek call aaya.

Usska hi tha..

Awaaj mein Nami thi,

Halki awaaj mein kuch Sunai diya,

Kaise ho?? Sab Thik hai na?

Haa Mujhe kya ho sakta?

Suno aab Hum nhi Milege.

Kuch Pal sab Shant ho gaya….

Kuch Derr tak Dono hi Khamosh ho gae..

Uski Shaadi tae ho gai thi

Phir kya tha…

Jo Khaab dekhe the sab Toot gae,

Abb Pyaar toh nhi raha..

Bas uski Meethi Yaadien hi reh gai.

Socha Himmat kar ke Ghar walo se bhi keh deta..

Par keh na saka.

Main kuch bata na saka.


                                  Based On A True Story...