Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

21 March 2021

Zindagi

 Zindagi...

 


Zindagi ek uljhi si paheli hai,

Dard aur gam toh mano iski saheli hai.

Saat aksharo ka shabd hai tu,

Par hazaron hai tere naam, ZINDAGI.

Na jaane kyu darbadar ho rahi hai aaj Zindagi.

 Khushiyan or gam jahan se behte hai waqt-waqt par,

Wo sukha pada Nal hai tu,

Bina ticket ke jo kabhi kiya tha, wo safar hai tu

Jin raaston par chal kar bhatak jane ko karta hai mann,

Wo Anjaan Dagar hai tu.



Jo dekhe the mene Aankhon mein sapne,

Wo chamakta sahar hai tu.

Shayad jo khai thi Maa ke haath ki,

Wo Sokhi Roti or Achaar hai tu.

Ya jo padi thi teacher se,

Wo pyaar bhari dande ki maar hai tu,

Gira kar jisne chalna sikhaya,

Khud rula kar jisne hasna sikhaya,

Wo bhetareen ustad hai tu.

Jisne samajh liya tujhe uske lie,

khushiyon se mehka bagaan  hai tu,

 


Aur jo ulajh kar reh gaya tujhme,

Uske lie simta hua ek kabristan hai tu.

Jo guzar gaya wo bita kal hai tu,

Jo chal raha wo behta ek pal hai tu.

Ek pal mein andhera ek pal mein jo ujala kar jae,

Aesi jadugar hai tu.

Zindagi Ae zindagi tere safar par jo chala,

Usne mud kar dekha nhi.

Aur jo tera na ho saka wo khud ka bhi nhi.


                                 Mohd Anas Ansari


01 January 2021

Saal tere badle rango se....

Saal tere badle rango se..... 


        2020 is saal mein jo jo hua hai wo koi nhi bhul sakta hai. is saal mein koi musibate aai hai. Jahan is saal ne hame har baar musibat mein dala hai wahi kahin na kahin hame kuch na kuch sikhaya hai. Jahan kai parivaar saath mein nhi rehte the, is saal mein sabne saath baith kar 3 waqt ka khana khaya hai. Toh aaj 2020 ke lie...



Khamoshi odh kar sannate ne shor machaya hai

Khuda ne dekho ye kaisa manjar dikhaya hai

Kahin lagi Aag kahin aaya Toofan

Kahin giri Bijli kahin fata Baadal

Har taraf laga Lasho ka Ambar

Kahin Baadh mein sab Barbad hua

Dekhte-hi-dekhte Sansaar ka vinaash hua

Basti ujad gai kisi ki, Sahar ka sahar barbaad hao

Assmaan mein chai thi badli

Kidon ka jo hamla hua

Ek tofaan aisa aaya jo duniya hi ujaad gaya

Dharti fisal gai paron tale

Dar-ba-Dar Sansaar hua

Kai chirag bujhe aangan ke

Khushiya bhi kai barbaad hui

yu ulti ghumi Zindagi

Ki sari Duniya hi tabaah hui

Ek saal mein maano janmo ka nuksaan hua

Zindagi mein zindagi ka jeena hi muhaal hua

Zindagi mein Zindagi ka jeena hi muhaal hua.....



Yu to khub rulaya tune

Har baar hi sataya tune

Kaha nhi bhatkaya tune

Par khush hoon...

Khush hoon isi bahane mene

Gir kar bhi jeena sikh liya

Saal, tere badle rango se 

Mene jeena sikh liya



Saath mere doctor aur javaan bhi the

Na dekhi dharm aur jaat

Sabke khatir bhid gae khud hi

Aakhir vo insaan hi the

Apni akad bhula kar Sabne

Thoda jhukna sikh liya

Saal, tere badle rango se

Mene har pal mein rehna sikh liya

Jab muskhil mein sansaar sara tha

Toofano ka dar par pehra tha

Hamare sapno ko pura karna tha

Tab milkar himmat kari sabne

Humne milkar udna sikh liya

Saal, tere badle rango se

Har pal mein udna sikh liya

Saal, tere badle rango se

Mene jeena sikh liya

Mene jeena sikh liya...

                                                            Alvida 2020


               Main Dua karta ho ki 2021 mein aapke chere ki ye muskorahat kabhi na jae, aap hamesha khush raho, aapki har nek Dua kabool ho aur aap hamesha fit n fine rahe..............Ameen


Aap sabhi ko meri taraf se nae saal ki bahut bahut Mubarak baad

18 December 2020

Ab Laut Aa Na

 Ab Laut Aa Na..


       Ye kavita har unn shakhs par likhi hai jo aapko kabhi-na-kabhi chhod kar chale gae hai. Aur hum sabki life mein koi na aisa shakhs hota hai. Aur jaroori nhi ki wo ek hi roop mein ho, wo kisi bhi roop mein ho sakhta hai dost, bhai, bahen, pyaar etc. Ye kavita uski ki yaad me likhi hai ki ab laut aa na...



Sunna laut aa na tujhse milne ka mann kar raha hai

Arse ho gae tujhe dekhe tujhse milne ko dil tadap raha hai

Mene mana mujhse galti ho gai thi

Mene gusse mein bol diya tha....

Mujhse baat mat karna, mujhe massege mat karna,

mujhe nafrat hai tujhse..

khair... Kab tak uhi naraaz rahega??

Ab to laut aa...

Mere dil ki ye khvahish hai

Is khvahish ko bina kisi sawaal ke pura kar de na

Bahut kuch kehna hai tujhse

batana hai, dikhana hai, tujhse baatein karni hai

Ab gusssa chhod de na

sunna laut aa na...

Ek baar apna didaar kara hi de na 

Ab itna bhi kya bhaav khana?

Laut aa na..



Main janta hoon tu bhi mujhse milne ko taras raha hai

Meri awaaz sunne ko bechain hai

Yaar arse ho gaye hai khush hoe!

Thoda has le, thoda hasa de na

pal bhar ke lie hi sahi

Laut aa na.

Main apni saari galti sudhaar longa,

main maafi bhi maang longa,

Tu kahe to main saja bhi kaat longa,

Ab toh naraazgi chhod de na..

Bahut hua rooth na-roothana

Maaf kar de na

Bas ek baar laut aa na

Bas ek baar laut aa...



Har roz mujhe teri yaad satati hai

Har roz ye aankhen tujhe hi bulati hai

Tu kaha hai? kaisa hai? kya kar raha hai?

Bas ye hi sawaal mere mann mein chalte rehte hai.

Tere bina main adhora ho, aur mere bina tu!!

Main talvaar hoon to,

Tu meri Dhaar hai

Main Aaina hoon to,

Tu usme chupi sachchai hai

Tu meri parchai hai..

Tu meri jaan hai

Meri aan-baan aur shaan hai

mein tere bina adhora hoon

Jo hua bhul ja na

Teri yaad aa rahi hai

Ab laut aa na..

Ab laut aa na......


                __Mohd Anas Ansari

09 November 2020

Aaj kuch khaas likhta hoon

  Aaj Kuch Likhta Hoon



 Aaj kuch likhta hoon

Tumhare liye Mere dil ke kuch ahasaas likhta hoon

Tumhare har ek dard, har ek mushkan likhta hoon

Tumhari yaadon ki ek kitaab likhta hoon

Kuch khaas nhi bas apne jazbaat likhta hoon

Kuch bite kisse, kuch mulakaat likhta hoon

Tumhara hassna, tumhara roothna

Tumhare nakhre aur tumhari narazgi likhta hoon

Tumhari Yaadon ke sahaare, main gazale khaas likhta hoon

har pal rahe jo saath mere ye baatein khaas likhta hoon




 Aaj tumhare liye apne kuch khayalaat likhta hoon

kudrat ki khoobsorti mein tumhe likhta hoon

Kuch khaas nhi bas tumhare liye

Mere Dil mein dabe jazbaat likhta hoon

Raato ki tanhai mein, main Geet tumhare likhta hoon

Sagar ki lehro ko jonj kar

Tumhari saari khushiya likhta hoon

Zindagi ki daud mein hamare jazbaat likhta hoon

Kabhi dard bhare nagme likhta hoon

Kabhi phoolon ki khubsurti unki khusboo mein




Tumhara zikar kiya karta hoon

Kabhi mehfil mein toh kabhi,

 chand ke sang kiya karta hoon

Tumhare liye main apna pyaar likhta hoon

Pedon ki Chav mein, Nadiyon ki Chan-Chan mein

Mausam ki Barish mein, Barish ki Boondon mein

parvat ki vadiyon mein ,Chand ki Chandni mein

Meri saason mein, mere dil ki har ek dhadkan

Main bas tumhe hi sunta hoon

Main tumhe hi dekhta hoon

Bas tumhe hi likha karta hoon....


                                                    Mohd Anas Ansari

10 October 2020

Udaan

 Chal Ek Nai Udaan Bhar 


Tu apne khaabon ke parde khol de  

Chal ek nai udaan bhar

Muskhil nhi hai kuch is duniya mein 

Tu koshish toh kar

Kyu pareshaan ho raha hai

Khaab badlege haqeeqat mein

Tu jara koshish toh kar

Chhod de jo howa tha phele

Tu ek nai udaan bhar.

Zindagi ke is samandar mein

Tu kashti ka maanjhi ban,

Is tofaan mein tujhe sahil bhi mil jaega

Tu koshish toh kar.


Yu zameen par baith kar kyu asmaan dekhta hai

Pankhon ko khol ye janama sirf udaan dekhta hai 

Lehron ki toh fitrat hai shor machane ki

Manzil usi ki hoti hai

Jo nazro mein tofaan dekhta hai.

Tu zindagi mein risk lene se kyu darta hai

Jeet gaya toh manjil milegi

Aur haar gaya toh sikh milegi.

Bas tu koshish toh kar.

Nazar ko badlo tu nazare badla jate hai

Soch ko badlo toh sitaare badal jate hai

Kashtiya badalne ki koi zaroorat nhi,

Disha ko badlo kinaare khud badal jaate hai.

Woh khud hi tay karte hain manzil assmano ki,

 parindro ko nahi di jaati taalim udaano ki.

Darr lagega tujhe faisla ye lekar

Lekin tu badhta jaa raasta dekh kar

Tu koshish toh kar khud ba khud nazdik aaegi manzil,

Tera hausla dekh kar.

Bhuji shama bhi jal sakti hai

toofano se bhi kasti nikal sakti hai

Tu koshish toh kar

Manzil tujhe bhi mil sakti hai.

Manzil unhe hi milti hai

Jinke sapno mein jaan hoti hai

Pankhon se kuch nhi hota

Hauslon se udaan hoti hai

Hauslon se udaan hoti hai..


                                                             Mohd Anas Ansari

05 September 2020

Waqt kisi ke kaabo mein nhi aata

Waqt kisike kaabo mein nhi aata hai

    Waqt ek aisa techer hai jo hume har roz kuch-na-kuch sikhata hai. Jo hamesha aage badte rehne ki sikh deta hai. Waqt kisi ka gulam nhi hai. Ye ek aisa teacher hai jisne sabka guzra kal dekha hai, aur sabko kaamyabi ki aur badte dekha hai. To aaj isi ki bare mein likha hai.. 
   
        Na rok pata hai koi isi, na koi samaj pata hai, Ye Waqt hai, Ye kisi ke kabo mein nhi aata hain. Ye Waqt hai, jo dikhai nhi deta, par dikha bahut kuch jata hai, ye najar nhi aata, par sikha bahut kuch jata hai. Ye waqt hai na bas sikhata jata hai, khuwaab thod to deta hai, par hazaroo khowaab dikhata jata hai. Ye Waqt hi to hai, jo phele imtihaan leta hai aur baad mein sikhata hai. Har roz ka suraj ek pal mein dhalta hai, ye Waqt hi hai jo har roz badalta hai. Har ek Tabassum, har ek Aanso,har ek nagma, har ek khushbo, wo Zehan mein banti aur bigadti Fizai, dil ke Ahesaas aur saare Zasbe, kabhi kisi ka Jakhm to kabhi Marham bankar aata hai, ye waqt hai, ye kisi ke kaabo mein nhi aata. ye Ghadi ki sui kisi ki yaar nhi hoti, ye waqt ki khaas hoti hai, na rukti kabhi na thaharti hai, bas waqt ke saath chalti rheti hai. 

 ye waqt hai, na isme koi aeb hai, na isme kio Akhelaq hai, Aaj tak na koi waqt ka safar kar paya hai, ye waqt hai, kisi ke kaabo mein nhi aaya hai. Waqt hamesha ek jaisa nhi rehta hai, kabhi khud bhi ro padte hai auron ko rulane wale. falsafa Zindagi ka insaan ko sikha deta hai waqt. kisi ke kaabho mein nhi aata hai Waqt. Waqt ka pata nhi chalta apno ke saath, par apno ka pata chal jata hai Waqt ke saath. Ye Waqt hi hai jo apke chahne walo ke chehre se jhut ka nakaab hata deta hai, ye waqt hai, ye kisi ke kaabo mein nhi aata hai. ye Waqt hi hai, ye kisi ke kaabo mein nhi aata hai........


Meaning:     
Tabassum - Muskaan 
Nagma - Geet/Song
Akhelaq - Behavior
Falsafa - philosophy
                             
                Stay Safe Stay Happy
                                                                            __Mohd Anas Ansari

15 August 2020

Desh bulata hai aao,,,,kuch kaam iske aate hai....

Desh bulata hai aao,,kuch kaam iske aate hai...


Aaj 15th August yahi independence day hai, aaj hamare desh ko angrezon se Azaadi mili thi. Azaadi to mil gai, par abhi bhi ye desh pori tarah se Azaad nhi hoa hai. Din-ba-din apradh badte ja rahe hai. Abhi bhi ladkiya akele bahar nikalne se darti hai. Tu aaj ki ye kavita isse par likhi hai..


Desh prem ke nare yaha sab lagate hai,

Badi-badi baatein sad kiye jate hai,

Fizul ki sala bewajah hi dete hai,

Waqt pade to apno ke bhi kaam nhi aate hai.

Sarhad ki rakhwali to sena apni karti hai,

Par ander ladki akele sadkon par chalne mein darti hai.

Har roz yaha apradh nai hote hai,

Kyuki Azaadi ko to hum, apni jeb me lekar ghumte hai.

Dushman desh ke bahar nhi, desh ke andar janmi raakh hai.

Kya 73 saalon mein ye azaad desh apna hai,

Kya yahi swatantrata senani ka sapna hai.

Jo Phool Sukh kar bikhar Gaya, wo phir se nhi khilega,

Jo waqt haath se nikal gaya, wo phir se nhi milega.

Jaat-dharm se dorr aakar, sabko ek saath aana hoga,

Jo Khwab dekha tha, azaadi se phele usko pura karna hoga.




Are hum kya jane kya hai azaadi,

Humne kaunsa angrezon ka koda khaya hai,

Azaadi ki kimat unse pucho,

Jinhone iske liye sab kuch gawaya hai.

Azaad ki kimat unse pucho,

Jinhone har kadam par pehra dekha hai.

Azaadi ki kimat unse pucho,

Jinhone din me bhi andhera gehra dekha hai.

Hame to azaadi veraasat mein mili hai,

Jo haste-haste phasi par latak gaye,

Unse pucho Azaadi kya hoti hai.

Hum sabko saath aana hai,

Jo kehlata tha sone ki chidiya desh hamara,

Phir se usse lana hai.

Desh Prem aur rastrawaad ke gaane mat gao tum,

Apne ander base bharat wasi ko jara jagao tum.

Dorr nhi Manjil raahi rakh majboot irada,

Apna haat utha kar khud se karo ek wada.

Mere samne kabhi koi bhuk se nhi marega,

Mere rehte Aniyae se koi nhi darega.

Ye desh hai mera yaha sab ka adhikar hai,

Ameer gareeb kuch nhi, yaha sab ek samaan hai.

Gali-mohalle ko kon ginta hai,

Jab sab saath khade ho tabhi to desh banta hai.

Ye wachan lie azaadi ka utsav aaj manate hai,

Desh bulata hai aao, kuch kaam to iske aate hai.

Aao kuch kaam iske aate hai.....



                                        Jai Hind Jai Bharat

Happy Independence Day

                                         ______mohd Anas Ansari