Wo Laut Kar Aaya Hai...
Arso baad kuch Baatein Hui hai,
Pata nhi Kaise? Par,,Usse Aaj Mulakat
hui hai..
Wo jo gaya tha Dorr…Shayad Aaj,
Wo Laut kar aaya hai
Aur dekh kar Usko Meri Aankhen Nam
Hui hai.
Wo mere samne Khada tha,
Mujhse kuch Kehe raha tha,
Usske har ek Lafzon mein mano Dorr Jane ka Gam tha.
Baatien hui kuch Nai Purani,
Yaadon ka mano Mela Laga tha.
Asro baad Mile the Ek Dusre se
Khosiyon ka Waha Dera Laga tha..
Bhool kar wo Ladai Jo Hui bhi nhi thi
Ghar mein Uske Dastarkhan Saja tha.
Mahino baad ye Mehfil phir se Saji
hai
Saath Baith kar Khana phir Dono ne Khaya hai..
Aaj wo laut kar aaya hai..
Aaj Khush hoon Main,
Par Khamosh bhi hoon.
Usse Puchna tha Tu Kaha gaya tha,
Par Shayad Wo bhi Iska hi Jawaab Chahta tha.
Mann mein Darr ka Mahool tha,
Ye Wapas toh nhi Chala Jaega?? Bas,
Ye Sawaal Zahen mein Ghum raha tha...
Ek Waqt Dono hi Khamosh ho gae
the,
Kuch Baatien Yaad kar ke,,
Dono ki Aankhon mein Aanso the.
Lehro ka wo Sahil se Takrane ki Aawaaz,,
Hamari Dhadkano se Mil rahi thi..
Nazara kuch aaisa tha ki,
Dekh kar Nazara Koyal bhi Geet Gaa
rahi thi..
Tanha tha jo Aab tak,
Mene ek Dost ko phir se Paya hai.
Mahino Baad hi Sahi.
Wo Laut kar Aaya hai…
Wo Laut kar Aaya hai….