Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

24 September 2023

Ek Khaab..

 

Ek Khaab…

Zamane ko dekhte hue Thak gaya toh,

Main Khaabon mein Kho gaya.

Bhatakte hue Khaabon mein

Woh Mere saath Shamil hua

Pata nhi Woh Kon tha, Woh Kaisa tha,

Chehra dikha nhi kyuki thoda Dhundla tha.

Kuch Lamhe uske Saath Bitai mene

Par Main Haqeeqat ko bhul gaya

Aankhe Khuli toh Main Akela tha

Jo Dekha tha Khaavb wo bhi Toot gaya

Uss ek Lamhe ka Intezaar hai is Dil ko

Jo Betaab hai Kisiki ek Zhalak ke lie

Duniya ki iss Alvidai Rasm se Pehle

Wo ek Lamhe ko jab Woh Mere Saath, Mere Pass hoga,

Apne Dil aur Ruh ki Sachai ke saath.

Intezaar hai Mujhe uss Lamhe ka

Jab Woh Duniya par Mujhe Fokiyaat dega

Wo ek Lamha Meri Kul Kainaat ka,

Mere Sukoon ka, Meri Khushi ka

Jagmagata hua Jugnu Banega.

Uske saath ka wo ek Lamha

Uski Judai ke Har Dard ka Izala karega

Uss ek Pal mein usse Nazar na Hatane ki Zidd

Usse apni Baahon mein Sametne ki Chahhat

Aur Raat ki Chandni mein Sitaro ki,

Dhimi Roshni mein Baatien karne ki Tamanna

Aur Ishq ki Harr Hadh Paar karne ka Junoon

Uss Lamhe ke Tham jane ki

Rab se Meri Guzarish

Main harr ek Roz karta hoon

Iss dil mein Tu hai aur Tujhse Mera Ishq

Aur iss Ishq ki Haqeeqat par

Mera Yakeen Tehra hua hai

Jo Mujhe Chikh-Chikh kar kehta hai ki

Mere Khaabon ki Tabeer

Zindagi ke Faana hone se pehle Puri hoegi

21 August 2023

Ek Cup Chai Piyege Saath Mein...

 

Ek Cup Chai Piyege Saath Mein

Ek Cup Chai Piyege saath mein

Kabhi Fursat mile toh aana

Aur kuch Pal Aapne Saath lana

Arsa ho gaya hai Hame mile

Ek baar phir apni Mehfil Saji hai

Saath mein Chai bhi Bani Rakhi hai

Kya Paaya aur kya Khoya Tumne

Ye sab Bhool kar hi aana

Ye Jhute Nakaab ko

Ghar par hi Utaar aana

Apni Kaamyabi ko Tum jara Chupana

Bas Hamari jo Yaadein thi Dosti ki

Unko hi apne Saath lana

Jo Gaana Gaate the Hum saath mein

Gar yaad aae toh Gun-Gunana

Naraaz ho gar toh Naraazgi ko Bhool jana

Tum bas Dosti Nibhane aana

Wo Khatti-Mitthi Yaadon ko Dhoraana

Jo Saath mein the kabhi

Hamare Saathi Bachpan ke

Un Sabhi ko apne Saath lana

Aur ye Baatein jara Unko bhi Samjana

Dekhlo kar Paoge gar Tum toh hi aana

Chai bhi Rakhi hai saath mein

Intezaar rahega Tum sab ka

Tum bas Mehfil Sajaane aana…

30 July 2023

Tumhari Yaadien

 

Tumhari Yaadein..

In Dhadkano ko bus aapki talaash hai

Bina Aapke Jeena Mahal hai

Gar dekh bhi lu Tumhe

Dhadkan band ho jaati hai

Meri Zindagi ki Qeemat bas Itni si hai

Tumhare sath Bitaye huwe

Chand Guzre howe Lamho ki Yaadein hai

Un Yaadon mein

Kuch Udasi or kuch Shaokhiyan hai,

Kuch Bunte hoye Khvaabo me Mashrur hum

Aur Kuch Toote hoye khvaab hai

Mujhe teri yaadein yaad aaj bhi hai

Wo baatein jo kahi bhi nhi thi

Mujhe wo yaad aaj bhi hai

Tere dedaar ko taras jata tha galiyo mein

Wo gumnaam gaaliya mujhe yaad aaj bhi hai

Wo dekh kar mujhe baalo ko sawarna

Aate jaate narze chura kar dekhna

Mujhe yaad aaj bhi hai

Tum toh na mil sake muhjhe

Bas tumhari ye yaadien hi reh gai hai

Tum zid nhi zindagi thi meri

Zindagi toh nhi rahi bas

Mujhme saas baki reh gai hai

Abb raha na Shauk Muskurane ka

Dil bhi Bhul gaya pata apne Thikane ka

Lambi Raat, Ghani Khamoshi hai

Lamho ka Yeh Adal-Badal bhi acha hai

Kabhi hasta, jhuta kabhi, kabhi Sacha hai

Dil bas tumhari yaadon mein hi atka hai

12 July 2023

Khat..

 

Khat…

Mere pass ek Lifafa hai

Lifafe mein ek Khat hai

Khat mein kuch likha hai

Likha Laal Siyaahi se hai

Jo Tumhare baare mein hai

Jo Tumhe batana hai

Harr ek Alfaaz Tumhe sunana hai

Sunana ye hai ki..

Jiss Taraf bhi Dekho waha Tum ho

Mere Zahen mein, Sapno mein bas Tum ho

Suraj ki Laali mein

Chand ki Chandni mein

Inn Jhilmilate Taaro mein

Bas Tum ho

Meri Raaton ki Neend mein

Mere in Khvaaboo mein

Ya Haqikat mein

Bas Tum ho

Meri Yaado mein, Sawaalo mein

Bas Tum ho

Meri inn Musalsal Aankhon mein

Inn Haseen Nazaro mein

Bas Tum ho

Iss Pal mein, Khushboo mein,

Hawao ke Jhoko mein

Bas Tum ho

Inn Baadalon mein

Barish ki Dhunn mein

Bas Tum ho

Ye Haqikat hai ya koi Sapna main nhi Jaanta

Mere Haar ek Alfaazo mein

Mere Saath Chalte is Pal mein

Bas Tum ho

Mere Haathon mein Ek Khat hai

Iss Khat mein Tum ho

Bas Tum ho…

 

 

 

 

26 June 2023

Main Kuch Dhund Raha Hoon...

 Main kuch Dhund raha hoon…


 Main kuch Dhund raha hoon

Pata nhi kya bas kuch khoj raha hoon

Ek aass hai Dil mein kuch paane ki

Par har baar main haar raha hoon

Akela khada hoon is rah par

Kisi ka Intezaar kar raha hoon

Pata nhi kiska bas Talash kar raha hoon

Har kahani mein, Main

Khud ko Dhund raha hoon

Be-lafz ho gaya hoon

Kuch Alfaaz Dhund raha hoon

Aas-paas sab thik hai mere

Par phir bhi kuch kami si hai

Main Waqt ke saath beh raha hoon

Aur Zindagi bas yu hi chal rahi hai

Kuch alag sa lag raha hoon Main

Kuch Dhund raha hoon

Pata nhi kya bas yu hi khoj raha hoon

Kabhi mil Jae toh batana

Bahut kuch puchna hai

Rooz kuch Naya pane ki Chah mein

Hamne Khud ko kitna Badal diya

Daude waha jaha Scope dikha

Par Zindagi ko Piche Chodh diya

Kya lagta hai ki ye badal doge??

Tum jo Raaton ko Roote ho

Aur Din bhar Baaton ko Dohrate ho

Yaad karo Tumne kya khoya hai?

Dekho kitna Tezz Daude ho Tum

Kitna bhage ya kode ho Tum

Wo Basta kitna Bhari tha

Jo bhara Zimmedariyon se tha

Sapno ka aab ho gaya na Khoon

Kho diya na Tumne pura Sukoon

Tumhe lagta hai tum ye Badal doge

Apna Rasta Dhund kar bas Chal doge

Kyu???

Jo Dhund rahe ho kya wo Milega?

Jiski Talash hai kya wo Puri Hoegi?

Sapna dekha tha jo wo aab Rahega?

Kuch Badalne ki aas thi kya wo Badlega?

Bas Main aab ye hi Soch raha hoon

Kuch Paana hai jo pata nhi kya hai

Bas usko hi Dhund raha hoon..

Main Kuch Dhund raha hoon…


Agar mil jae toh batana mujhe bhi...

20 September 2022

Wo Bhi Kya Din The

 

..Wo bhi kya din the..

... 

Aaj kuch Btana chahta hoo

Apni Zindagi ke kuch Haseen Lamhe,

Tumhe dikhana chahta hoo

Wo Din jo meri Zindagi ka ek Hissa Ban gae

Aur Dekhte-hi-Dekhte wo

Gujre hue Pal ban gae

Ye Lamhe Bachpan ke Waqt ke the

Jab hum sab Dost Saath hua karte the

Jab school ke baad Mulakaat

Dosto ke Saath hoti thi

Aaj kya Khelenge Kal kiski Baari thi

Kuch is tarah se hamara Khel decide hota tha

Gilli-Danda Khel kar Thak jate toh

Ghar mein Dera Jamta tha

1rs ka Rasna aur phir Contra ka Battle hota tha.


Barsaat mein paper ki nao bana kar

Ek-dusre se race lagate the

Aur phir Nadiya mein jakar Gote lagate

Raat ko Truck par Chadd kar

Lukka-Chuppi khel shoor machte

Ya yu hi Bewajah idhar-udhar bhaagte the.

Sirdi ki Vacation mein Rozz Subha

Mulakaat Dosto se hoti thi

Haath mein Bat aur Ball lie

Dosto ko bulane uske Ghar se,

Toli Hamari Nikalti thi.

Aankhon me Sapne aur Dil me Armaan lie

Ek Safar me nikal pade Bina kisi ka saath lie

Raaston mein kuch Anjaan Chehro se Mulakaat hui

Aur phir nai Dosti ki Shuruwaat hui.

Wo Din bhi kitni Haseen the

Jab sabse phele hum School puch jate the

Sharpener mile ya Bottle ka Dhakan

Usse Corridor mein Football khelte the

Aur Recess mein Class hamari WWE

Ka Stadium ban jati thi

Kon Jeetega kon Haarega

Ispar Batting lagti thi..


Tution Class mein Alag hi Scene chalta tha

Fariyaz hamara Adda hua karta tha

Dariya ke ek Kinare

Baythak hamari Jamti thi

Sab ke haath mein Ice-cream hoti,

Aur Gateway par Baithe

Musafiro se Baatien hoti thi

Masti har Rozz isse Tarah hoti thi

Ek pal mein Roothna aur Dusre hi Pal

Dosti hamari hoti thi.

Din Wo kya Hasen hua karte the

Jab hum sab Dost Saath hua karte the

Ye pal Aaj bhi Yaad aate hai

Aur jab bhi Yaad aate hai,

Hooth par ek Muskurahat de jata hai..

….

28 August 2022

यादें

...यादें...


शब के तीसरे पहर में, जब सारा जहान

नींद की आगोश में होता हैं

तब मैं तेरी यादों का आंचल ओढ़ कर

उसमे खो सा जाता हूं।

फिर मुझे तेरी जुदाई का,

दर्द रुलाता है

और तेरे साथ बिताए लम्हे,

मेरे लबों पर मुस्कान दे जाते है।

तेरे ख्यालों से मेरे मेहबूब मुझ पर कभी,

दर्द के बादल छा जाते है तो,

कभी खुशियों की बरसात होती है।


तू मेरे शब का सुकून है

तू मेरे इश्क का जोनून है

तुम्हे सोचता हो तो लगता है

जैसे मेरी इबादत क़बूल है

जब दिल में तेरी यादों का दीया जलता है,

तो अक्सर में अपनी जिंदगी की,

हकीकत भूल जाता हूं

दुनिया की रिवायत तोड़ देता हूं

अपने दिलकश ख्वाबों को,

ताबीर की उम्मीदों से मय्यासर करता हूं


अपनी दिल की हर इक धड़कनों में,

तेरी आवाज़ सुनता हूं,

रात के अंधेरों में मैं खुद को,

तेरी कुर्बत के अहसास से रोशन करता हूं।

जो तेरी यादें मेरे दिल में है,

मैं हर इक पल तेरी यादों में खोया रहता हूं।

मगर मुझे मालूम है जाना,,

के तू लहासिल है मुझको.,

पर में खुद को तुझ पर गालिब नही करता।

मैं खुद को तुझ पर गालिब नही करता।।