Iss
Maati Mein Hai Janam Liye .....
Yha goli khakar bhi,
har
Jawaan hasta hai,
ye desh hai mera jha har dil,
mein bharat basta hai.
Today is 26th
January mean our Republic day. You know why we celebrate this? 26th
January me ek constitution was adopted for freedom ki hum ko Purna Swaraj means
full Indian Independence cahiye. Tu is 26th Jan ke moke par mene ek kavita likhi hai. tu suro karte hain.
Is Maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.
Aai musibat koi tere ann par,
Main sabse lad jaunga.
Rahe Azad ye Desh mere tu,
Main jaan tujh par lotaonga.
Is maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.
Lahu se shichuga teri dharti,
Ek bar phir itihaas dhoraunga,
Yuddh ke maidan mein,
main geet josh ke gaunga.
Baat hoi kuch aisi to main,
Rajguru aur Bhagat singh ban jaunga.
Is maati mein hai janam liye,
Is maati mein mil jaunga.
Jahan ekta ka phera ho,
Jaat-paat ka na masla ho,
Main insaniyat aage badaunga.
Jahan bharastachar ki baat na ho,
Main aman aasa launga.
Is maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.
Koi bhukha na mare yahan,
Main sabki bhukh mitaunga,
Shiksha mile yahan sabko,
Main aisa Desh banaunga.
Iss maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.
Bata do un hakmrano se.
Bata do un hakmrano se,
Na koi aab fasad kare,
Bhrashtachar ki Aag mein yoo na,
Desh mera barbaad kare.
Main matra-bhumi ki laj ke khatir,
Maut se lad jaunga.
Is maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.
Main sarhad par jakar,
Khon ki holi kheloga,
Desh rahe Abaad ye mera,
Main shatru se lad jaunga,
Faqra ho bharat maa ko apne lal par,
Main wo lal ban jaunga.
Uucha rahe Tiranga hamara,
Vande-Mataram ke nare lagaunga.
Is maati mein hai janam liya,
Is maati mein mil jaunga.
Is maati mein mil jaunga….
Jai Hind....
Happy Republic Day to all of you
kavita acchi lagi tu comment, share and follow karo