Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

29 May 2022

Wo Laut Kar Aaya Hai..

Wo Laut Kar Aaya Hai...


Arso baad kuch Baatein Hui hai,

Pata nhi Kaise? Par,,Usse Aaj Mulakat hui hai..

Wo jo gaya tha Dorr…Shayad Aaj,

Wo Laut kar aaya hai

Aur dekh kar Usko Meri Aankhen Nam Hui hai.

Wo mere samne Khada tha,

 Mujhse kuch Kehe raha tha,

Usske har ek Lafzon mein mano Dorr Jane ka Gam tha.

Baatien hui kuch Nai Purani,

Yaadon ka mano Mela Laga tha.

Asro baad Mile the Ek Dusre se

Khosiyon ka Waha Dera Laga tha..


Bhool kar wo Ladai Jo Hui bhi nhi thi

Ghar mein Uske Dastarkhan Saja tha.

Mahino baad ye Mehfil phir se Saji hai

Saath Baith kar Khana phir Dono ne Khaya hai..

Aaj wo laut kar aaya hai..

Aaj Khush hoon Main,

Par Khamosh bhi hoon.

Usse Puchna tha Tu Kaha gaya tha,

Par Shayad Wo bhi Iska hi Jawaab Chahta tha.

Mann mein Darr ka Mahool tha,

Ye Wapas toh nhi Chala Jaega?? Bas,

Ye Sawaal Zahen mein Ghum raha tha...


Ek Waqt Dono hi Khamosh ho gae the,

Kuch Baatien Yaad kar ke,,

Dono ki Aankhon mein Aanso the.

Lehro ka wo Sahil se Takrane ki Aawaaz,,

Hamari Dhadkano se Mil rahi thi..

Nazara kuch aaisa tha ki,

Dekh kar Nazara Koyal bhi Geet Gaa rahi thi..

Tanha tha jo Aab tak,

Mene ek Dost ko phir se Paya hai.

Mahino Baad hi Sahi.

Wo Laut kar Aaya hai…

Wo Laut kar Aaya hai…. 

27 April 2022

Tumse Nafrat Kyu Nhi Hoti?...

 

Tumse Nafrat Kyu Nhi Hoti??..

Main thak gaya hoon Dard Sehte-Sehte..

Main thak gaya hoon-

Apne Aap ko Samjhate-Samjhate..

Main Samaj gaya hoon ki,

Main Tumhare liye Kuch nhi hoon.

Par Maine toh Puri Koshish ki thi,,

Ki kuch Ban sakoo!!

Shayad Tum ye Samaj hi nhi pai

Mere wo Zasbaat ko Padh hi nhi pai..

Tumhe meri koi Fikr hi nhi thi

Jab Tumhara Mann Karta tum Baat kar leti thi..

Naa jane Main hi kyu Ise Pyaar samaj baitha?

Bina tumhe Jane apna Dil de baitha..

Main thak gaya hoon Tumhe Ehasaas Dilate-Dilate..

Main thak gaya hoon Khud ko Haraate-Haraate..

Tumhare Alawa bhi Zindagi hai Meri

Main thak gaya hoon Tumhare Piche Bhaagte-Bhaagte..

Mujhe bas thoda sa Waqt chahiye tha Tumhara

Jyada koi Umeed bhi nhi thi.

Par Zaroorat ke baad Tum Mujhse Baat hi nhi karti..

Kyu Tum baar-baar Yaad aati ho?

Kyu har baar Mujhe Sataati ho?

Kyu Main Tumhe Bhula nhi pata hoon?

Sirf Tum hi nhi ho Yaha par..phir kyu?

Kisi aur se Mohabbat nhi kar pata hoon??

Tumse Dorr Jane ki Koshish karta hoon har baar,,

Par kyu Tumse Nafrat nhi ho pati?

Tumhe Dil se Nikalo kaise?

Is Dil ko Samjhao kaise?

Aab Bahut ho gaya bas..Tumhe Yaad nhi karna!!

Pasand ho Tum Aaj bhi Mujhe par,

Aab Tumhe Haasil nhi karna..

Thak gaya hoon Khud ko Manaate-Manaate..

Aab nhi Dekhne Tumhare Khaab bhi Mujhe

Main thak gaya hoon Tumhe Bhulate-Bhulate..

Tum kyu Meri Zindagi mein Aa gai?

Kyu is Tarah Mujhe Ishq-ka-Jaam Pila kar gai??

Main bhulna chata hoon Tumhe..

Tumhari sab Yaadon ko Mitana chahta hoon.

Par kyu Mita nhi Pata?

Aab Mujhe Tum chahiye hi nhi toh,

Kyu Tumhari Yaadein Mujhe sataati hai??

Jis Tarah Pyaar hua Tha Tumse, usi tarah

Tumse Nafrat kyu nhi hoti hai??..

26 March 2022

Kabhi-Kabhi Mann Karta Hai..

 

Kabhi-Kabhi Mann Karta Hai…

 


Kabhi-Kabhi Mann karta hai ki,

Kahin Dorr chala jao..Sab kuch Chhodd kar.

Arsa ho gaya Khud ke saath Waqt Bitaye,

Apne-Aap se milne ka Mann karta hai.

Koi mujhe Samajne Wala hi nhi hai,

Mere Hone-ya-Na Hone se

Kisiko koi Farq hi nhi Padta hai.

Jise jitni Ahamiyat dete hai,

Wo utna hi Dard de jata hai.


Kabhi-Kabhi Hum Thak jate hai,

Pareshaniyo aur Zimmedariyo se,

Zindagi ki is Bhaag-Daud se,

Mann karta hai ki Kahin Dorr Chale jae.

Logo ko Samajna aur Samjana Aab,

Bas ki Baat nhi rahi,

Yaha sab apni hi Baatein kiye jate hai,

Koi Hamari Sunta hi nhi.

Jisko jaisa thik Lagta hai wo Waisa hi karte hai,

Lakh Koshish kar le par koi Samaj hi nhi pata hai.


Main Khud ki Talash mein Nikalna Chahta hoo,

Apne-Aap se Milna Chahta hoo.

Yaha Log Wada karke Todd dete hai,

Khvaab bhi Adhore hi Dikhate hai,

Main Baat karta hoo toh Baat ho jati hai

Par Aage se Koi Pahel hi nhi Karta hai.

Isiliye kahin Dorr Jana hai,

Aur jab tak Mann na Bhare Laut kar nhi Aana hai.

26 February 2022

Kya Yahi Pyaar Hai??

 

Kya Yahi Pyaar hai??


Main kho Chuka hoon,

Kisiki Yaad mein Apne Aap ko,

Kisika Intezaar Rehta hai Aaj-Kal.

Main Khudko Akela Mehsoos kar raha hoon,

Ya Shayad kisiki Kami Khalne lagi hai.

Main toh Thahra hoon apne Is Pal mein hi,

Shayad ye Zameen hi Chalne Lagi hai.

Aaj-Kal Neend bhi Kaam hi aati hai,

Sapne bhi Bas Uske hi Aate hai.

Soone ki Koshish karta hoo main,

Par Uske khayal Mujhe Jaga dete hai.

 

Main kho Chuka hoon,

Kisiki ki Yaad mein Apne Aap ko,

Uska yu Mujhe Dekh kar,

Wo Palkein Jhukana Nazar aata hai.

Main Khudko usme Pane Laga hoon

Mano jaise ki Wo Meri Life ka

 Ek… Dusra Hissa hai.

Aur uske Bina Mano main Adhora hoo.

Aur usko main Apne Aap se bhi,

Jyada Chahne Laga hoon.

 

Uski wo Kajal wali Aankhein Mujhe ,

Unme Dubba deti hai.

Uski wo Lehrati Julfhe Mano,

Mujhe unme Uljah si deti hai.

Uski wo Khamoshi kuch kehna Chahti hai,

Mano wo bhi Mujhe apna Ek Hissa Maanti hai.

Uske aane se Mano Waqt Tham sa Jata hai,

Uske Hassne se Ye Dil kuch Pagal sa ho Jata hai,

Usko Ek Pal Dekhne ko meri Aankhein Taras jati hai,

Wo na Dekhe agar toh ye Duniya,

Kuch Bejaan si Nazar aati hai.

Mujhe nhi pata ki.. Mujhe Kya ho raha hai

Ya kuch Alag hi koi Baat hai??

Kya yahi Pyaar hai??

Kya yahi Pyaar hai??

………….

21 January 2022

Aab Baatien Nhi Hoti…..

 

Aab Baatien Nhi Hoti…..


Tujhe Bahut kuch Batana hota hai

Tujhse Bahut kuch Sunna hota hai,

Par, Abb Tu Baat hi nhi Karta hai...

Tujhe Yaad hai Jab Bhi Mujhe Kuch hota,

Toh Tu har Baar Mujhe Sambhaalta tha

Main Jab bhi Roota tha toh,

Tu Hamesha Mujhe Hasata tha.

Tu har Pal Mere Saath rehta tha

Dost nhi Yaar, Mene Bhai Tujhe Mana tha

Tujhe Fikr thi Meri aur Mujhe Teri

Har Roz Tu Mera Haal Pucha karta tha..


Hum Dorr rehte the Ek Dusre se

Par Mujhe Doori ka Ahsaas hi nhi hota tha

Phir pata nhi kya hua, Tune kuch kaha bhi nhi,

Bas Mujhse Baat karna Band kar diya

Mene Wajah Janne ki Koshish ki..

Par Dhond nhi paya.

Tujhe se bhi Malum karni ki Koshish ki...

Par Tu Bata hi nhi paya.

Mana Galti Meri thi Par Bata Deta ki,

Kya Kiya tha Mene?

Par Tune Puchne ka Mauka hi nhi diya,

Kuch Batana tha Tujhe aur Tera Haal Puchna tha,

Par Aab na Bata paya na Puch paya...


Aakhiri Mulakaat toh Hamari,

Haste hoe khatm hoi thi!!

Toh uske Baad Tune Baatien karna kyu Chhod diya?

Abhi toh Tune Mujhse Milne ka Wada kiya tha??

Abhi Mile bhi nhi the,,

Isse pehle hi Tune ye Khvaab kyu Tod diya??

Kyu Baatien Band kar di Tune?

Kuch Tu Sunata tha, kuch Main

Do Baat kar Lete the Saath mein.

Accha nhi karni Baat toh Mat kar

Mujhse toh Puch Leta...

Tu yuhi Achanak Dosti Luta kar chala gaya

Aab Main ye Sochta reh jaoga ki, Mene Kiya Kya tha??

Mahine ho gae Tujhse Baat kiye

Aab toh Naya Saal bhi aa gaya,

Kyu chala gaya Tu Mujhe Akela Chhod kar,

Ye Sawaal bas ek Sawaal ban kar Reh gaya.

Tujhe Bahut Kuch Batana hai

Tujhse Sunna hai, Tere Saath Hassna hai

Par, Tu Abb Baat hi nhi Karta Hai…

09 January 2022

Kaise ho Tum? Sab Thik hai Na?

 

Kaise ho Tum? Sab Thik hai na?


Aur kya chal raha hai Aaj Kal Zindagi mein,

Kaise ho Tum? Sab Thik hai Na?

Mujhe toh thik hi dikh rahe ho.

Waise tumhe malum hai? Jaisa Dikhta hai,

Waisa Hamesha sach nhi hota.

Wo School ka Tension abhi tak hai kya?

Aane wale Exam ko lekar Pareshan lag rahe ho

Ye sach hai kya?

Khel-Kood, Yaari-Dosti sab kuch chhodd diya hai kya?

Yehi soch rahe ho na ki..,

Ye Padhai ke chakkar mein sab kuch kyu choott jata hai?

Khelna bhi jaroori hai, Dosti bhi jaroori hai,

Koi ye kyu nhi Batata hai?

Dil Toot`ta hai, Pighalta hai aur baar-baar Roota hai

Par kisi ko ye Ehasaas nhi hone dete ho tum,

Kisi-Na-Kisi Tarah Khud ko Sambhaal Lete ho tum.

Mujhe ye pata hai, Main janta hoon.


Bas kisi ne bol diya ki ‘life is a race’ bhaago..

Zindagi aise hi chalti hai,

Par Jeena toh kisine Sikhaya hi nhi..

Jeetna kaise hai ye toh sab batate hai

Par Haar kar kaise Jeetna hai,

Ye toh kisine Bataya hi nhi..

Lagta hai Aaj-Kal Doston se, Jyada Baat bhi nhi hoti hai..

Arsa ho jata hai Mile par, Ek Mulaqat bhi nhi hoti hai

Tum Akela Mehsoos karte ho Bahut Baar,

Chala gaya na Wo bhi Tumhe Chhodd kar?

Ye main samajh sakta hoon..

Jo Sapne Dekhe the kya Wo Pure ho rahe hai?

Ya Kho gae Wo bhi kahi Purani Yaadon mein?

Tum thik Dikhte ho, Par ho Kya?

Kitna kuch Chal raha hai Mann mein Bata Paoge kya?

Kabhi-Kabhi Tum bhi Shaant Ho Jate ho kya?

Jo Sawaal hai Mann mein Unke Jawaab Dhundh lete ho kya?


Apni Zimmedariyon ke lie,

Kabhi apne Khwaab Na chhodne pade.

Iska Darr Hamesha Rehta hai na?

Rozz ke Taano se Tang Aa Gae ho na?

Duniya kya Kahegi? Log kya Sochenge?

Bas issi mein hi Ulajh kar reh gae ho na?

Batao na kaise ho Tum, Sab Thik hai na?

Raat mein Neendein kamm Aane lagi hai na?

Zimmedariya Bistar se Jaldi Uthane Lagi hai na?

Mujhe Sab pata hai, main Samajh Sakta hoon.

Abb ye Zindagi jaesi bhi hai Tumhari hi toh hai.

Apne Aap ko kam nhi Samajhna Chahiye

Uljhe ho Tum Sulajh jaoge

Ek din zindagi ko bhi samajh jaoge.

Toh tum bhi samajh lo isse

Haar aur jeet se koi farkk nhi padta,

Farkk padta hai ki tumne kya sikha isse.

Zindagi muskurane ka naam hai.

Zindagi har pal me jeene ka naam hai.

………….

Main phir se pouchta hu ‘kya tum thik ho?

19 December 2021

Chai.....

Chai…

Hui khatam kisise Baat ho,

Ya mil jae koi Ajnabi,

Aur Dosti ki Shuruaat ho.

Ya Dil kabhi jo roo pade,

Ya Khil-khilata Mann ho.

Har Waqt yaadgaar hota hai,

Wo Waqt sirf-aur-sirf mera hota hai,

Aur Khubsurat lagti hai ye Zalim Duniya bhi,

Jab ek Cup Chai ka sahara hota hai..

Jab bin Mausam Barsaat ho

Ya Garmi ki wo Shaam ho,

Doston ki wo Mehfil ho

Ya Ghar me koi Tyauhaar ho,

Chahe December ho ya June ho

Chai har Mausam mein Sukun hai.

Chahe 5 star Hotel ho ya Raste ki wo Choti si Dukan

Har Mauke ki Noor hoti hai,

Ye Chai har Mauke par jaroor hoti hai.

Subha ke Akhbaar ki ye Saathi hoti hai

Dhalte Suraj ki ye Laali hoti hai

2 Ashiquko ke lie ye Muhabbat ki Nishani hoti hai,

Bhatakte Mushafir ke thakam ka ye Sahara hoti hai

Mehmano ke aage ki ye Shaan hoti hai,

Ye Chai hai janaab har Pal Mein Khass hoti hai

Din ka Aagaj aur Khatm isi ke saath hota hai

Jahan do Dost baith jai saath mein bas,

Iska hi Intezaar hota hai

Iske Jaayake ke saath Yaadein kuch Taza ho jati hai

Ye Chai hi hai jo nai yaade Bakher jati hai

Thakan ke waqt ye Sahara ban kar aati hai

Ek Cup Chai saari Thakan meta kar chali jaati hai.

Mohabbat karne walo ke lie,

Wo Adrak wali Chai,

Shaam ko Baithe wo Masale wali Chai,

Doston ki masti mein wo Tapri wali Chai,

Wo Kulhad ki Mahek mein Ghulti Chai..

Chai zindagi hai mere Dost,

Chahe wo Subah ki ho ya Shaam ki

Chai ki ek Chuski Sukoon le aati hai.

Chai Ishq hai chai Pyaar hai

Iske aage sab Bekaar hai

Chai Nasha hai chai Maza hai

Chai Mithi si koi Saja hai

Doston ke saath Chai ka Rishta hum Hak se Nibhate hai

Are hum toh Chai bhi Dil se banate hai


Toh kisi Din Milte hai Chai par...

Doston ke Saath Mulakat

    Ek Cup Chai ke Saath.....