..Wo bhi kya din the..
...
Aaj kuch Btana chahta hoo
Apni Zindagi ke kuch Haseen Lamhe,
Tumhe dikhana chahta hoo
Wo Din jo meri Zindagi ka ek Hissa Ban gae
Aur Dekhte-hi-Dekhte wo
Gujre hue Pal
ban gae
Ye Lamhe Bachpan ke Waqt ke the
Jab hum sab Dost Saath hua karte the
Jab school ke baad Mulakaat
Dosto ke Saath hoti thi
Aaj kya Khelenge Kal kiski Baari thi
Kuch is tarah se hamara Khel decide
hota tha
Gilli-Danda Khel kar Thak jate toh
Ghar mein Dera Jamta tha
1rs ka Rasna aur phir Contra ka Battle hota tha.
Barsaat mein paper ki nao bana kar
Ek-dusre se race lagate the
Aur phir Nadiya mein jakar Gote lagate
Raat ko Truck par Chadd kar
Lukka-Chuppi khel shoor machte
Ya yu hi Bewajah idhar-udhar bhaagte the.
Sirdi ki Vacation mein Rozz Subha
Mulakaat Dosto se hoti thi
Haath mein Bat aur Ball lie
Dosto ko bulane uske Ghar se,
Toli Hamari Nikalti thi.
Aankhon me Sapne aur Dil me Armaan
lie
Ek Safar me nikal pade Bina kisi ka
saath lie
Raaston mein kuch Anjaan Chehro se Mulakaat
hui
Aur phir nai Dosti ki Shuruwaat hui.
Wo Din bhi kitni Haseen the
Jab sabse phele hum School puch jate
the
Sharpener mile ya Bottle ka Dhakan
Usse Corridor mein Football khelte
the
Aur Recess mein Class hamari WWE
Ka Stadium ban jati thi
Kon Jeetega kon Haarega
Ispar Batting lagti thi..
Tution Class mein Alag hi Scene
chalta tha
Fariyaz hamara Adda hua karta tha
Dariya ke ek Kinare
Baythak hamari Jamti thi
Sab ke haath mein Ice-cream hoti,
Aur Gateway par Baithe
Musafiro se Baatien hoti thi
Masti har Rozz isse Tarah hoti thi
Ek pal mein Roothna aur Dusre hi Pal
Dosti hamari hoti thi.
Din Wo kya Hasen hua karte the
Jab hum sab Dost Saath hua karte the
Ye pal Aaj bhi Yaad aate hai
Aur jab bhi Yaad aate hai,
Hooth par ek Muskurahat de jata hai..
….