School ke Din... ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

04 November 2019

School ke Din...

                        This blog I wrote about my school life. Main abhi FYJC mein. phele-phele college jana accha lag raha tha. par jab apne school ko dheta hoon to wo school ki yaadein taza hojati hain. aur inhi yaado ke bare mein ye likha hain. So let's start. 

"School ke Din...."
                                                                  
                  
                    Maine life ke haseen lamhe waha gujare the. Zindagi jeena aur padhna-likhna wahi se sikha tha. Kuch aur naam mat do  usy kyuki weh mera doosra ghar tha…  
                                                        School
                    Subah ko der se uthna. Mummy uthae to pet dard ka bahana kar ‘aaj school nhi jauga’ bolna. Phir kisi tarah daant kha kar school chale jana hamara roz ka tha…
                     Phir ek waqt aisa aaya ki ghar me boring lagne laga tha aur school mano mujhe mera doosra ghar lagne laga tha. School ka ek free period mano pure din ki thakaan mita deta tha. Bench ka bajna aur duster se face makeup karna hamara chalu rehta tha. Black-list ka tag laga kar hum back-bencher kehlate the, pen-fight, red-hand, odd-iff jaise kitne game hum piche khela karte the. Class ke beech mein gossips apne chalu rehti thi, hum sab class ke bahar khade hojate the jab teacher hume pakadti thi. P.T ke period me full energy hoti thi aur science ke period mein batti gul ho jati thi, aage bench par sab padhte rehte thy aur last bench par hum apna alag hi chemical locha karte rehte. 
                   Washroom mein sab friends ka sath jana aur full period wahi bitana, bell bajne par class mein bhagna. Teacher ko satana, chalu period mein masti karna, kabhi usy piche se marna to kabhi paper ka plane bana kar udana. Computer lab me jakar keyboard ka koi bhi button daba kar aana, to kabhi teacher ke lakh mana karne par computer me game khol kar baith jana. Pyaar se teacher ko naye-naye naam dena aur phir ushi naam se bulana hota tha. 
                   Ek tiffin me 6-6 haath hote thy kyuki hum sab friend saath hote thy. Kabhi-kabhi friend se bina bataye uska tiffin kha jana, tu kabhi ushi ke bag se bench saaf karna. Canteen se samosa pav lekar bahar nikal aana kisi jang jeetne se kaam nhi hota tha. Wo aankhen band karke kisi 1 ko apna shikaar banana, phir baad mein usy manana hota tha. 
                   Ghar mein 1 water bottle nhi bhar pate thy, par school mein 5-5 water bottle lekar jate thy. Birthday mein wishes se pehle birthday bombs milte the aur party ke naam par naye-naye chehare dikhte the. Kisi ko bhi bhabhi bana kar dosto ko chidhana, dost ke naam par ladai karna “tu school ke bahar mil” famous dialogue bol kar panga lena. Baad mein compro ho jana hamara chalu rehta tha.                    School jane ki aadat si hogai thi ye yaade humse kuch is tarah judd gai thi.
                   Din gujre, mahine gujre, gujre 13 saal. Aakhir wo din aa hi gaya jiska tha hum sabko intejaar. Farewell ke din waha sajna-savarna, ladko ka blazer aur ladki ka saree pahan kar aana. Uss din kiye thy dosto se school ke baad milne ke vaade. School ki shirt par likhna aur likhvana milte rhena dosto hame bhool na jana. Aaj bhi jab school ke raste gujarta hoon to wo khatti-meethi yaade mere chehre par ek nayi muskurahat chhod jati hain…….
                  Mujhe phir se apne dosto se milna hain, mujhe phir se unka tiffin khana hain, mujhe phir se bench par apna naam likh kar aana hain, mujhe phir se school jana hain,, mujhe phir se school jana hain….  
                      This memories will always be with me. Miss you mere yaaro jald milege.. 
                                                      
                                                         ---Mohd Anas Ansari      

17 comments:

  1. Computer Wala too such hai bhai

    ReplyDelete
  2. Bhai really missing those days 😭😭

    ReplyDelete
  3. ek number bhai rula diya yaar��������

    ReplyDelete
    Replies
    1. Roo mat Bhai warna Tere Mobile gila ho jaiga πŸ˜…

      Delete
  4. Bohot sahi yrr bhai😫.really missing those days. Proud of u bro😍😎

    ReplyDelete
  5. Nice Annu bhut acha likha sach me schl ki yaad bhut ati hai πŸ˜”πŸ˜”πŸ˜”bhut acha likha keep it up πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘

    ReplyDelete
  6. Bhai really missing those day. Bahut maza aata tha wo dosto ka tiffin khane me

    ReplyDelete
  7. Are bhai rula diya😭😭😭😭

    ReplyDelete