Ae jaate hue saal....AA baith.. ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

01 January 2020

Ae jaate hue saal....AA baith..

Ae jaate hue saal


  I wrote about 2019, how important it was for me.... Toda late ho gaya hoo alvida kahene main kyuki kal new year ka welcome kar raha tha..to ab pyaar se alvida karte hain...


                Ae jaate hue saal, Aa baith tere sath ki masti, aur jo bhi yaade hain usska karte hain hisab. Yaad hain kuch naye resolution se shuru hua tha rishta hamara. kuch bada karenge milkar aisi hui thi hamari baat. January mein yah irade to kuch din chal gaye, par February aate hi jaane kha bikhar gaye. 10th ka woh exam mene tere sath diya, hatash tha main par tune khushiyo mein uljhai rakha. Kabhi tune dukho ki dukaan dikhai tu kabhi khushiyo ki nadiya bahai. bahut dost the mere phele, par kuch tu apne sath laya, kuch ko main bhul gaya aur kuch ne mujhe choda, khushiya tu bahut di tune, Ae saal par kambakhat dil kai martaba toda. Tere sath ki mene kai apni khwahish puri, tune mera har din alag banaya, par phir bhi naye sapne dikhane se Ae saal tu baaz na aaya. Kuch khwahish thi meri jo puri na ho pai, abhi taazi hain tu kya hua, kho jayegi yeh bhi jaise phele kho gai. Kabhi tujhse rahi shikayat, tu kabhi khud se rahi gila, ye dosti thi hamari aisi ki tujhse zaroorat ka sab kuch mila. maan gaye Ae saal ye tera hisab hain, khatte-methe yaadon ka samandar tere sath hain, tu lajawab hain,,, tu lajawad hain.
Toda badla tune mujh mein kuch, phir bhi  mujhko main banai rakha, Ae saal tune ye pyaara sa rishta mere sath banai rakha. kai khushi, kai dukh, kai sapne, azadi tu lekar aaya tha, sab luta kar gaya, kitni yaade bikher kar tu chala gaya...tu chala gaya...   Alvida 2019 

           Thankyou so much 2k19
                         AND
              Welcome 2k20

       kon-kon miss kar raha hain 2019 ko, aur konsi wish baki hain jo 2019 mein puri nhi hoo pai....koi baat nhi is saal jaroor ho jaigi..

  HAPPY NEW YEAR TO ALL OF YOU 
                           

Accha laga to please comment kar ke batana please. accha lagta hain aur mujhe likhne mein bhi accha lagta hain.......
                                  
                                  ___Mohd Anas Ansari

12 comments:

  1. Hum nhi miss krege 2019ko bda gnda gya h πŸ˜”πŸ˜”πŸ˜£πŸ˜’πŸ˜’πŸ˜€

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mera tu bahut accha tha πŸ˜…πŸ˜‚πŸ€£

      Delete
  2. Waise blog acha haiπŸ˜˜πŸ˜˜πŸ˜˜πŸ˜˜πŸ˜˜πŸ’–

    ReplyDelete
  3. Bahut khood likha h ������������

    ReplyDelete
  4. Second paragraph ka vah dusra sentence.Kai Khushi se ................................ Alvin 2019 tak mujhe best line/best sentence Jo bolo mujhe bahut achha laga

    ReplyDelete
  5. 😊😊😊😊😊😍😍

    ReplyDelete
    Replies
    1. πŸ‘πŸΌπŸ‘πŸΌπŸ‘πŸΌ

      Delete
  6. πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ‘πŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜ƒπŸ˜„πŸ˜„πŸ˜„

    ReplyDelete
    Replies
    1. πŸ‘πŸΌπŸ‘πŸΌπŸ‘πŸΌπŸ‘πŸΌ

      Delete