Mat haar tu khud se ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

17 June 2020

Mat haar tu khud se

Mat haar tu khud se...

    Aaj kal log tension bahut lete hai. Aur ise wo log depression mein chale jate hai, aur koi galat kadam uta lete hai, par depression ya tension ka ilaj marna nhi hai. Ye kavita isi ke upar likhi gai hai.

               

Musibate zindagi ke har Mod par aati hai, khwabo ke parde har baar girati hai, mat haar tu rak hosla ye musafir, thokar hi insaan ko chalna sikhati hai. Tu kyu apni zindagi se bhaag rha hai, dusro ki wajah se kyu jaan ki baji laga rha hai, tu kosish kar jo aaj tujh par has rhe hai, ek din wo hi hasti tere pass aaigi. Kyu lete ho itna tension apne is mastishk mein, kabhi to apne dil ki suno, aur na aai samaj to apne maa-baap ko yaad karo wo tumhe bataige, Zindagi jeene ka naya tarika wo tumhe Sikhaege. Har baar haarna sahi nhi hota hai, zindagi ki is race mein jeet kar hi aage badha jaata hai. Har baat mein tension kyu lete ho, kyu dusro ko khud par havi karte ho, har baar mar jaane ko kyu sochte ho, zindagi ek baar milti hai, phir kyu ise yun bewajah gawate ho.
  
Musibat aai to kisi se salah le lo maa-baap se nhi hai himmat batane ki, to dosto ko bta do, wo dost hai tumhare har pareshani se lad jaige, nhi aane dege tum par aanch, tumhare is chehre par ek nai muskurahat laege. Dil me koi baat ho to bta diya karo, mann halka ho jata h, kabhi kabhi baaton ko na btane se jaida, bta dena accha hota hai. Jab tu jinda ho kar kuch na kar saka, to mar kar kya karega, jis baap ne tujhe khande par baithaya, us baap ke khande par janaza accha nhi lagega. Tu chala gya to teri maa ko logo ke tano se kon bachaega, jo zinda thi tera chehra dekh kar, usske chere ke noor ko kon wapas laega. Zinda hai tu to apna zamir zinda rakh, ek din tu sultan bhi ban jaega, dil me ek fakir zinda rakh, kamyabi ki talaash me hoslon ka teer zinda rakh, musibat aaegi tujhe chunoti dene tu unse ladne ke honar ko zinda rakh.

Depression se tu ladna sikh le, gam ke aage tu hasna Sikh le, chal rha jo tere dimaag me wo sab bhul kar, apno ke lie tu jeena sikh le. Tere na hone se is duniya ko koi farak nhi padega, 2-4 din gam dikhaegi ye duniya, fir nazara phele jaisa hoga. Tu chala gya to tere parivar ka kya hoga..soch tere parivar ka kya hoga. Andhere ke baad ujala jaroor aata hai, suraj dob jae shaam ko, to subha ko phir nikal aata hai. Aaj dard hai tere pass, khushiya bhi jaroor aaegi, depression ke is maya-jaal mein rah bhi mil jaegi. Mat har tu khud se, is maya-jaal mein  rah bhi mil jaegi.
 
 Ek baat khena chahunga ki agar life mei  koi bhi problem aae tu use daro mat balki uska samna karo, agar aap ko uska jawaab nhi mil rha hai tu kisi ki help lelo. Par koi galat kadam mat utao. Ye har baat mein marna marna karne se kya milega, kuch bhi nhi. Bas ye kadam mat utana ki tumhari wajah se kisi aur ko dard ho..

                              ___Mohd Anas Ansari

8 comments: