Prakriti.... ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

29 June 2020

Prakriti....

Prakriti..

Ye kavita prakriti par likhi hai. Aaj puri duniya mein corona ki maha-mari chal rahi hai, sab kuch band hai, to wahi dosri aur prakriti mein sudhar aa raha hai. Jo hamne pollution kara hai wo kam ho rha hai, Dharti apne rang mein rang rahi hai. Tu shuro karte hai....

Bejuba thi ab tak, ab kuch baya karne aai hai, ye prakriti hai, kuch derr taharne aai hai. 
Khudrat ki khubsurti badhi, chamak badhi asmaan ki, pahle se jaida saaf hui, tasveer sare jahan ki. Kar diya kaid hum sab ko, parindo ko azad karaya hai, jo janwar kaid tha pinjre mein, aaj sadko par utar aaya hai, dekho ye kudrat ka kya kaher hum par aaya hai. Aaj liya hai badla prakriti ne, insaano ke nafarz nibhane ka. Vaayu pradushan ke zehar se saphed ambar par daag lagane ka, aaj mila hai mauka darti ko, jahan par santulan ko lane ka.
Yamuna ko doshit karne aur ganga mein kachra pheke jane ka, Jangle ko Kate jane ka, is prithvi par apna hak jatane ka, aaj liya hai badla prakriti ne, insaano ke nafarz nibhane ka, Bhul gya jo insaan usko kuch batana hai, paap Kiya hai tune aaj ye dekhana hai, tarakki ke naam par pedon ko kaata hai, na jane kitno ka ghar tune ujada hai, aaj mila hai mauka prakriti ko, jahan par santulan ko lane ka. Aaj liya hai badla prakriti ne, insaano ke nafarz nibhane ka.
Asmaan kuch waqt se tham chuka hai, insaan hue pinjre mein band, Sankat ke badal baras rahe barish ban, prakriti hui naraz is baar, karmo ka fal mil rha is baar. Insaano ke banae kale badal katam ho gye, dekh kar ye asmaan mein ek nai kiran jagi, ke hum bhi luft uthaenge aisa soch chidiya bhi has padi. Aab to kachhue bhi ghosla banane, samandar ke tat par aa rahe hai, aur dorr sahar se parvat dikh ja rahe hai. Jo kabhi na dekha aaisa nazara dekh rahe hain, prakriti apna santulan bana rahi hai. Aaj prakriti phir se nikhar kar aa rahi hai. Aaj darti khud mein rang rahi hai, aur Tujhe thik hota dekh, mujhe khushi ho rahi hai.
     
            Stay safe and keep smiling   

                            ___Mohd Anas Ansari       

7 comments: