Chal Ek Nai Udaan Bhar
Chal ek nai udaan bhar
Muskhil nhi hai kuch is duniya mein
Tu koshish toh kar
Kyu pareshaan ho raha hai
Khaab badlege haqeeqat mein
Tu jara koshish toh kar
Chhod de jo howa tha phele
Tu ek nai udaan bhar.
Zindagi ke is samandar mein
Tu kashti ka maanjhi ban,
Is tofaan mein tujhe sahil bhi mil jaega
Tu koshish toh kar.
Yu zameen par baith kar kyu asmaan dekhta hai
Pankhon ko khol ye janama sirf udaan dekhta hai
Lehron ki toh fitrat hai shor machane ki
Manzil usi ki hoti hai
Jo nazro mein tofaan dekhta hai.
Tu zindagi mein risk lene se kyu darta hai
Jeet gaya toh manjil milegi
Aur haar gaya toh sikh milegi.
Bas tu koshish toh kar.
Nazar ko badlo tu nazare badla jate hai
Soch ko badlo toh sitaare badal jate hai
Kashtiya badalne ki koi zaroorat nhi,
Disha ko badlo kinaare khud badal jaate hai.
Woh khud hi tay karte hain manzil assmano ki,
parindro ko nahi di jaati taalim udaano ki.
Darr lagega tujhe faisla ye lekar
Lekin tu badhta jaa raasta dekh kar
Tu koshish toh kar khud ba khud nazdik aaegi manzil,
Tera hausla dekh kar.
Bhuji shama bhi jal sakti hai
toofano se bhi kasti nikal sakti hai
Tu koshish toh kar
Manzil tujhe bhi mil sakti hai.
Manzil unhe hi milti hai
Jinke sapno mein jaan hoti hai
Pankhon se kuch nhi hota
Hauslon se udaan hoti hai
Hauslon se udaan hoti hai..
Mohd Anas Ansari
ππ₯°πnice
ReplyDeletethankyou so much
DeleteWow π literally bro u open my eyes thank you
ReplyDeleteShukriya bhai π₯°
DeleteDamn Op bro π₯°π₯°
ReplyDeleteThanks broππ»
Delete