Zindagi ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

21 March 2021

Zindagi

 Zindagi...

 


Zindagi ek uljhi si paheli hai,

Dard aur gam toh mano iski saheli hai.

Saat aksharo ka shabd hai tu,

Par hazaron hai tere naam, ZINDAGI.

Na jaane kyu darbadar ho rahi hai aaj Zindagi.

 Khushiyan or gam jahan se behte hai waqt-waqt par,

Wo sukha pada Nal hai tu,

Bina ticket ke jo kabhi kiya tha, wo safar hai tu

Jin raaston par chal kar bhatak jane ko karta hai mann,

Wo Anjaan Dagar hai tu.



Jo dekhe the mene Aankhon mein sapne,

Wo chamakta sahar hai tu.

Shayad jo khai thi Maa ke haath ki,

Wo Sokhi Roti or Achaar hai tu.

Ya jo padi thi teacher se,

Wo pyaar bhari dande ki maar hai tu,

Gira kar jisne chalna sikhaya,

Khud rula kar jisne hasna sikhaya,

Wo bhetareen ustad hai tu.

Jisne samajh liya tujhe uske lie,

khushiyon se mehka bagaan  hai tu,

 


Aur jo ulajh kar reh gaya tujhme,

Uske lie simta hua ek kabristan hai tu.

Jo guzar gaya wo bita kal hai tu,

Jo chal raha wo behta ek pal hai tu.

Ek pal mein andhera ek pal mein jo ujala kar jae,

Aesi jadugar hai tu.

Zindagi Ae zindagi tere safar par jo chala,

Usne mud kar dekha nhi.

Aur jo tera na ho saka wo khud ka bhi nhi.


                                 Mohd Anas Ansari


4 comments: