Bachpan..
Bachpan ki wo
ameeri jane kaha chali gai,
Jab paani me
hamare bhi jahaaj chala karte the
Aur hawa mein hawai-jahaaj bhi hamare hua karte the
Mitti ka hi
sahi, par Mehal hamare bhi hua karte the.
Na kamaane ki Fikr, Na Zamaane ka dukh
Bas khushiyon
se bhari Zindagi thi,
Aaj
Zimmedaariyan hai, Tab khilkaariyan hua karti thi
Aaj Jaroorten
hai, Tab khvaahishen hua karti thi.
9 baje Pokemon
aur 9:30 baje Beyblade tha
Hero mein
Shaktiman hi apna favourite tha
Wo Hatim ke 7
sawaal ka pura karna,
Aur Vikram ka
Gabrool se wo sone ke sikke lekar
Kahani sunana
ek alag hi maza hua karta tha.
Jisska Bat
pheli uski batting, Aur out hua toh
Ammi bola
rahi hai ye hi bahana hota tha.
Tab din
pakdam-pakdai, gilli-dandda se shoru hota tha
Aur chor-police,
chupam-chupai pe Khatam.
Maidan me khelne
ki jagah nhi hua karti thi
Jo jeeta wo hi khelega phele bs ye hi sarth hua karti thi.
Wo cycle ke tire ko apni gaadi maan lena
Aur phir doste ke saath race lagana,
Kanche, Lagori, lattu, jab har ek khel mein maza tha.
Tab Pubg nhi
tha yaar, wo contra ka zamaana hua karta tha.
Tab ye pepsi,
coca-cola aur sprite nhi yarr
Wo kanche wali Banta ka zamaana hua karta tha.
ShakLaka Boom
Boom wali pencil ko pana,
Hamari chahat
hua karti thi
Tab Zindagi
bahut hi Simple aur Haseen hua karti thi.
Bina degree
ke Doctor ban jate the
Aur dawai ke
naam par chote-chote patthar dete the.
Wo choti choti
baat par doston se laddna-jhagadna
Tujhse kabhi
baat nhi karunga bolkar,
Sham ko ussi
ke pass jakar baith jana.
Ek pal mein
masti aur dusre hi pal masoom ho jate the
Malik the
apni Marzi ke har pal mein khush rehte the.
Tab lagta tha ki ye filmo me actors
Gaana khud hi
gaate hai,
Aur har baar
inke kapde kaise badal jaate hai.
Roo Rookar
school jate aur chutte waqt,
Sabke haath
mein O-YES hota tha
250 cards
jama hone par bas,
Watch milne
ka intezaar rehta tha
Wo sachi
muskurahat hothon par,
Aab kaha
dekhne milti hai
Muskurahat,
Tabassum, Hassi, khilkaariyan sab kuch
Naa jane kaha
kho gai.
Dekhte hi
dekhte pata nhi hum kab bade ho gae.
Chahat Chand
ko pane ki thi
Aur manzil ki
koi khabar na thi.
Aaj ke din
naa jane kaise gujar rahe hai
Main shukr-gujaar
hoo ki mere Bachpan ke din
Bachpan jaise
gujre hai..
ππππ
ReplyDeleteNice one brother ❤️
ReplyDeleteNice one Annu mast hai ❣️π
ReplyDeleteKeep it up ππaisi likhte rhe
ReplyDelete