Baarish... ~ Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

28 June 2022

Baarish...

Baarish..


Aaj Mausam kuch alag lag raha hai!!

Kahi se ye Badal aae hai?

Khada hoon ek Kone mein,,Main chipp kar,

Ye Boonde aaj Mujhe Dhundne aai hai..

Aaj Mausam hai Baarish ka Yaad tumhari aae hai..

Baarish ke har ek Katre se Awaaz tumhari aai hai.

Khuwaish hai Meri ki,

Bheegon ek Barsaat tere Saath.

Par ye Khuwaish abhi Adhori hai.


Kadke Bijli Aasmaan mein,

Tum Aa kar Mere Sine se lag jao..

Tere Haath mein Mera Haath hoo,

Aur Waqt ye Tham sa jae.

Ye Khuwaish Meri Puri ho jae.

Dekho Aasmaan aaj Pani ban kar,

Baarish ke Zareye Zameen se Milne aaya hai.

Armaan ye Zameen ke bhi Jag uthe,

Maati ki Khusboo aai hai.

Aaj ye Halki Halki Baarish hai.

Hawa ye Tej aur, Thodi Thandi bhi hai.

Ye Phool bhi Sadkon par Bikhre hai.

Aur Isme teri Khushboo bhi hai.

Ye Mausam ki Pheli Baarish mein,

Main akela khada Tumhe Yaad kar raha hoon.

Aur Dekh is Baarish ko Main Tumhe,

 Apna Banane ki Dua kar raha hoon.

Tumhe Apna Banane ki Dua kar raha hoon.. 

......

5 comments: