Ek Khaab…
Zamane ko dekhte hue Thak gaya toh,
Main Khaabon mein Kho gaya.
Bhatakte hue Khaabon mein
Woh Mere saath Shamil hua
Pata nhi Woh Kon tha, Woh Kaisa tha,
Chehra dikha nhi kyuki thoda Dhundla tha.
Kuch Lamhe uske Saath Bitai mene
Par Main Haqeeqat ko bhul gaya
Aankhe Khuli toh Main Akela tha
Jo Dekha tha Khaavb wo bhi Toot gaya
Uss ek Lamhe ka Intezaar hai is Dil ko
Jo Betaab hai Kisiki ek Zhalak ke lie
Duniya ki iss Alvidai Rasm se Pehle
Wo ek Lamhe ko jab Woh Mere Saath, Mere Pass hoga,
Apne Dil aur Ruh ki Sachai ke saath.
Intezaar hai Mujhe uss Lamhe ka
Jab Woh Duniya par Mujhe Fokiyaat dega
Wo ek Lamha Meri Kul Kainaat ka,
Mere Sukoon ka, Meri Khushi ka
Jagmagata hua Jugnu Banega.
Uske saath ka wo ek Lamha
Uski Judai ke Har Dard ka Izala karega
Uss ek Pal mein usse Nazar na Hatane ki Zidd
Usse apni Baahon mein Sametne ki Chahhat
Aur Raat ki Chandni mein Sitaro ki,
Dhimi Roshni mein Baatien karne ki Tamanna
Aur Ishq ki Harr Hadh Paar karne ka Junoon
Uss Lamhe ke Tham jane ki
Rab se Meri Guzarish
Main harr ek Roz karta hoon
Iss dil mein Tu hai aur Tujhse Mera Ishq
Aur iss Ishq ki Haqeeqat par
Mera Yakeen Tehra hua hai
Jo Mujhe Chikh-Chikh kar kehta hai ki
Mere Khaabon ki Tabeer
Zindagi ke Faana hone se pehle Puri hoegi
😯wow
ReplyDelete❤️shukriya aapka
Delete