Kuch Lafz Pyaar Ke

Recent

28 August 2022

यादें

...यादें...


शब के तीसरे पहर में, जब सारा जहान

नींद की आगोश में होता हैं

तब मैं तेरी यादों का आंचल ओढ़ कर

उसमे खो सा जाता हूं।

फिर मुझे तेरी जुदाई का,

दर्द रुलाता है

और तेरे साथ बिताए लम्हे,

मेरे लबों पर मुस्कान दे जाते है।

तेरे ख्यालों से मेरे मेहबूब मुझ पर कभी,

दर्द के बादल छा जाते है तो,

कभी खुशियों की बरसात होती है।


तू मेरे शब का सुकून है

तू मेरे इश्क का जोनून है

तुम्हे सोचता हो तो लगता है

जैसे मेरी इबादत क़बूल है

जब दिल में तेरी यादों का दीया जलता है,

तो अक्सर में अपनी जिंदगी की,

हकीकत भूल जाता हूं

दुनिया की रिवायत तोड़ देता हूं

अपने दिलकश ख्वाबों को,

ताबीर की उम्मीदों से मय्यासर करता हूं


अपनी दिल की हर इक धड़कनों में,

तेरी आवाज़ सुनता हूं,

रात के अंधेरों में मैं खुद को,

तेरी कुर्बत के अहसास से रोशन करता हूं।

जो तेरी यादें मेरे दिल में है,

मैं हर इक पल तेरी यादों में खोया रहता हूं।

मगर मुझे मालूम है जाना,,

के तू लहासिल है मुझको.,

पर में खुद को तुझ पर गालिब नही करता।

मैं खुद को तुझ पर गालिब नही करता।।

23 July 2022

Zaroori Nhi...

 Zaroori nhi…


Zaroori nhi jo Tumhe Dikhata hai,

Woh har bar Sach hi ho.

Zaroori nhi jo Hamesha Khilkhilata hai,

Woh sach mein utna hi Khush ho.

Zaroori nhi jaesa Tasveero mein dikhta hai,

Woh Haqeekat mein bhi waesa hi ho.

Aur jo sabko Motivate karta hai

Kya pata Raaton ko khud hi Rota ho. 


Jo sabki Pareshaniyon ko sunta hai

Kya pata Andar se Woh khud hi Pareshan ho,,

Kya pata Woh ye Batana chahta ho

Lekin Bata hi na Paa raha ho..

Zaroori nhi jisse Woh Pyaar kare

Badle mein Usko utna hi Pyaar mile

Jise dekh kar lage ki Zindagi ho toh aesi

Kya pata Woh Khud hi Sochta ho ki

 Ye Zandagi kyu hai Aesi?


Zaroori nhi Uske kai Dost hai

Toh sab Uski Baaton ko Samjhe

Kya pata Woh hi Baad mein

Khud ko Akela Mehsoos kar raha ho

Woh Bahar se jitna Khamosh Dikh raha hai

Kya pata uske Andar Utna hi shor ho.

Zaroori nhi Woh Khuli Kitaab ki

Tarah Dikh raha hai toh,

Woh waesa hi ho,,

Kya pata Uske Andar kitne Raaz Dabe ho..

Zaroori nhi jaisa Log usse Samajh rahe hai

Woh Haqeeta mein bhi Utna hi Hasmukh ho

Zaroori nhi Woh Waisa hi ho….

06 July 2022

Main Keh Na Saka..

 

Main Keh Na Saka..


Suno kaesi ho? Aapka naam?

Bahut Khobsurat Lag rahi ho.

Ye Main Usse kehna Chahta tha.

Par Keh na paya…

Ek Roz usko College ke Gate par dekha .

Dekhte hi na Jane Mujhe kya hua?

Ki Main Apne aapko Sambhal na paya

Uski wo Lehrati Zulfe,

Wo Annkhon mein Kajal,

Hoothon pe Ek Halki se Muskurahat,

Haatho mein Kitabe thi.

Kuch is tarah se Didaar hua tha Uska..

Socha jaakar Baat karo par,

Kar na saka? Naam se Anjaan tha

Wo Poch na saka..


Suno Akele Ghar jaa rahe ho?

Main bhi wahi Rehta hoon, Saath mein chale?

Ye Main usse Pochna chahta tha.

Par Poch na saka..

Sadak ke Ek Taraf uska Ghar tha,

Aur Dusri taraf Mere.

Uski ek Jhalak dekhne ke lie,

Aana Jana aab uski Galiyo se Hone laga tha.

Koi Pakad ke Poch na le,

Toh Bahana Aksar Taiyar hota tha.

Uske saath toh jane se raha!!

Toh socha Lecture mein saath Baith jae??

Suno wo Baithne ke lie Jagah nhi hai.

Kya Main yaha Aapke saath mein Baith sakta hoo?

Ye bhi Main usse Pochna chahta tha

Par Poch na saka..

Din aise hi Sochne Samajne mein Nikalte rahe.

Na Main kuch Poch saka,

Na kuch keh saka.


Dekhte-Dekhte College ka,

Wo Akhri Din bhi aa gaya…

Hello, Salaam.. Kheriyat? Main hoo..

Mene aapke ek Dost se Aapka number liya

Kya Hum mil sakte hai?

Ye Mene nhi…..

Thak-Haar kar Ussne hi Mujhse Poch liya..

Raat ka Waqt tha.

Mujhe ek Call aaya, Uska hi tha

Socha uhtao..ya nhi?

Phir Himmat kar ke utha liya.

Phir hamari Baatien Shuru hoi..

Baatien na jane kab Pyaar mein Tabdeel hui.

Ek Durse ke saath Waqt Gujaarne lage.


Din gujre phir gujre kuch Mahine..

Saal aate aate phir ek call aaya.

Usska hi tha..

Awaaj mein Nami thi,

Halki awaaj mein kuch Sunai diya,

Kaise ho?? Sab Thik hai na?

Haa Mujhe kya ho sakta?

Suno aab Hum nhi Milege.

Kuch Pal sab Shant ho gaya….

Kuch Derr tak Dono hi Khamosh ho gae..

Uski Shaadi tae ho gai thi

Phir kya tha…

Jo Khaab dekhe the sab Toot gae,

Abb Pyaar toh nhi raha..

Bas uski Meethi Yaadien hi reh gai.

Socha Himmat kar ke Ghar walo se bhi keh deta..

Par keh na saka.

Main kuch bata na saka.


                                  Based On A True Story...

28 June 2022

Baarish...

Baarish..


Aaj Mausam kuch alag lag raha hai!!

Kahi se ye Badal aae hai?

Khada hoon ek Kone mein,,Main chipp kar,

Ye Boonde aaj Mujhe Dhundne aai hai..

Aaj Mausam hai Baarish ka Yaad tumhari aae hai..

Baarish ke har ek Katre se Awaaz tumhari aai hai.

Khuwaish hai Meri ki,

Bheegon ek Barsaat tere Saath.

Par ye Khuwaish abhi Adhori hai.


Kadke Bijli Aasmaan mein,

Tum Aa kar Mere Sine se lag jao..

Tere Haath mein Mera Haath hoo,

Aur Waqt ye Tham sa jae.

Ye Khuwaish Meri Puri ho jae.

Dekho Aasmaan aaj Pani ban kar,

Baarish ke Zareye Zameen se Milne aaya hai.

Armaan ye Zameen ke bhi Jag uthe,

Maati ki Khusboo aai hai.

Aaj ye Halki Halki Baarish hai.

Hawa ye Tej aur, Thodi Thandi bhi hai.

Ye Phool bhi Sadkon par Bikhre hai.

Aur Isme teri Khushboo bhi hai.

Ye Mausam ki Pheli Baarish mein,

Main akela khada Tumhe Yaad kar raha hoon.

Aur Dekh is Baarish ko Main Tumhe,

 Apna Banane ki Dua kar raha hoon.

Tumhe Apna Banane ki Dua kar raha hoon.. 

......

21 June 2022

Main Pareshan Hoon...

 

Main Pareshan Hoon…


Pata nhi kya ho raha hai??

Main Pareshan hoon Kayi Dino se,

Main khoya hoon kahi

Apni hi Dhundh mein,

Main “Mujhsa” nhi rehta ho Aaj-Kal,

Main apna Dard Batana chahta hoon,

Par Koi Sunne wala hi nhi hai..

Toh Likh doon kya??

Jo Dard hai Ek Kagaj par.

Shayad Koi Padhne wala hi Mil jae.

Padh kar Baat toh sab samaj hi lete hai,

Shayad Jasbaat samajne wala Koi Mil jae..


Jaante toh Bahut Log hai Mujhe,

Baatien bhi Sabse hoti hai.

Par jo Jaanta tha Mujhe Apne se bhi Jyaada,

Uska Koi Ata-pata hi nhi hai.

Bolne ki Koshish karta hoon Main

Par Koi Sunne wala hi nhi hai.

Yaha Saath Rehkar bhi

Sab Dorr hi Rehte hai..

Mujhe Ehasaas Dilane wala Koi bhi nhi hai.

Main Khud se Baatien karta Rehta hoon

Kabhi-Kabhi khud se Haar kar Soo Jata hoon.

Main Khamosh hoo kuch Dino se,

Par Kisine Notice hi nhi Kiya hai.

Main Text par toh Acche se Baatien Kar Leta hoon…

Par Samne Baat karne se Darta hoon.


Mujhe nhi pata Apne Dard ko Kaise Bayan karte hai??

Isiliye usko Bahar Aane hi nhi Deta hoon.

Bas Kho jata hoon Apni hi Dhun main.

Par Ye Kisi ko Samaj hi nhi aata hai.

Main Khamosh hoo Jaroori nhi ki,

Mujh mein ghamand hai

Bas batane se Darta hoon.

Main bass Waqt ke Saath,

Behta chala Jaa raha hoon..

Aur Zindagi bas Yu hi Chal rahi hai..

Main Pareshan hoon kuch Dino se

Par Koi ye Samaj kyu nhi Paa raha hai??

???

29 May 2022

Wo Laut Kar Aaya Hai..

Wo Laut Kar Aaya Hai...


Arso baad kuch Baatein Hui hai,

Pata nhi Kaise? Par,,Usse Aaj Mulakat hui hai..

Wo jo gaya tha Dorr…Shayad Aaj,

Wo Laut kar aaya hai

Aur dekh kar Usko Meri Aankhen Nam Hui hai.

Wo mere samne Khada tha,

 Mujhse kuch Kehe raha tha,

Usske har ek Lafzon mein mano Dorr Jane ka Gam tha.

Baatien hui kuch Nai Purani,

Yaadon ka mano Mela Laga tha.

Asro baad Mile the Ek Dusre se

Khosiyon ka Waha Dera Laga tha..


Bhool kar wo Ladai Jo Hui bhi nhi thi

Ghar mein Uske Dastarkhan Saja tha.

Mahino baad ye Mehfil phir se Saji hai

Saath Baith kar Khana phir Dono ne Khaya hai..

Aaj wo laut kar aaya hai..

Aaj Khush hoon Main,

Par Khamosh bhi hoon.

Usse Puchna tha Tu Kaha gaya tha,

Par Shayad Wo bhi Iska hi Jawaab Chahta tha.

Mann mein Darr ka Mahool tha,

Ye Wapas toh nhi Chala Jaega?? Bas,

Ye Sawaal Zahen mein Ghum raha tha...


Ek Waqt Dono hi Khamosh ho gae the,

Kuch Baatien Yaad kar ke,,

Dono ki Aankhon mein Aanso the.

Lehro ka wo Sahil se Takrane ki Aawaaz,,

Hamari Dhadkano se Mil rahi thi..

Nazara kuch aaisa tha ki,

Dekh kar Nazara Koyal bhi Geet Gaa rahi thi..

Tanha tha jo Aab tak,

Mene ek Dost ko phir se Paya hai.

Mahino Baad hi Sahi.

Wo Laut kar Aaya hai…

Wo Laut kar Aaya hai….